Hadees-e-Nabwi
1}Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Dhokebaaz, Bakheel aur Ehsaan Jataane Waala Jannat mein Dakhil Nahi hoga.
{Tirmizi Sharif }
2}Hazrat Abu Ayub Ansari Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Pauda lagata hai Phir is Darkht se Jitna Phal Paida hota hai Allah Ta'ala Phal ki Paidawaar ke Baqadr Pauda lagane wale Keliye Ajar likh Dete hain.
{Musnad Ahmad}
3}Hazrat Ayesha' Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Hadiya Qubool Farmate the aur iske Jawab mein (Khuwah issi waqt ya Dusre waqt) Khud bhi Ataa Farmate the.
{Bukhari Sharif }
4}Hazrat Jaber Bin Abdullah Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jis Shakhs ko Hadiya diya jaye, Agar iske paas bhi dene keliye Kuch ho to isko Badle mein Hadiya Dene Waale ko de Dena Chahiye aur Agar kuch na ho to (Bataur-e-Shukriya) Dene Waale ki Taareef karni Chahiye. Kyunke Jisne Tareef ki isne Shukriya Adaa kardiya. Aur Jisne (Taareef nahi ki balke Ehsaan ke Muamle ko) Chupaya isne Nashukri ki.
{Abu Dawood}
5}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Bande ke Dil mein kabhi Bakhl aur Imaan Jamaa Nahi Hosakte.
{Nisai}
6}Hazrat Jaber Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Musalman Darkht lagata hai Phir is mein se Jitna Hissa khaaliya jaye wo Darkht lagane Waale keliye Sadqa Hojata hai aur jo is mein se Chura liya jaye wo bhi Sadqa Hojata hai yani is par bhi Maalik ko Sadqa ka Sawab Milta hai aur Jitna hissa is mein se Charinde kha lete hain wo bhi is keliye Sadqa hojata hai. Aur Jitna Hissa is mein Parinde kha lete hain wo Bhi iske liye Sadqa Hojata hain. (Garz ye ke) jo koi is Darkht mein se Kuch (bhi Phal Wagaira) lekar kum Kardeta hai to wo is (Darkht lagane Waale) ke liye Sadqa Hojata hai.
{Muslim Sharif }
7}Hazrat Jaber Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Banjar Zameen ko Kasht ke Qabil Banata hai to isse iska Ajar Milta hai.
{Ibn Hibban}
8}Hazrat Qasim Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Damashq mein Hazrat Abu Darda'a Raziyallahu Anhu ke Paas se ek Shakhs Guzre. Is waqt Hazrat Abu Darda'a Raziyallahu Anhu koi Pauda laga Rahe the. Is Shakhs ne Hazrat Abu Darda'a Raziyallahu Anhu se kaha: Kya Aap bhi ye (Duniyawi) kaam kar rahe hain halanke aap to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Sahabi hain? Hazrat Abu Dardaa Raziyallahu Anhu ne Farmaya: Mujhe Malamat karne mein jaldi na karo. Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Jo Shakhs Pauda lagata hai aur is mein se koi Insaan ya Allah Ta'ala ki Makhlooq mein se koi Khati hai to wo is (Pauda lagane Waale) ke liye Sadqa hota hai.
{Musnad Ahmad}
9}Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Jo Muslmaan kisi Musalman ko Kapda Pehnata hai to Jab tak Pehne Waale ke Badan par is Kapde ka Ek bhi Tukda Rehta hai, Pehnane Waala Allah Ta'ala ki Hifazat mein Rehta hai.
{Tirmizi Sharif }
10}Hazrat Harisa Bin Nouman Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Miskeen ko Apne haath se Dena Buri Maut se Bachata hai.
{Tibrani Sharif }

11}Hazrat Abu Moosa Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Wo Musalman Amanatdaar Khazanchi jo Maalik ke Hukm ke Mutabiq khush dili se Jitna Maal jise Dene ko Kaha Gaya hai Utna usse Poora Poora Dede to isse bhi Maalik ki Tarah Sadqa Karne ka Sawab Milega.
{Muslim Sharif }
12}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala Qayamat ke Din Farmayenge: Adam ke Betel Mal Beemar hua Tumne meri Ayadat nahi ki Banda arz Karega Ae mere Rabb! Mai kaise Aap ki Ayadat karta Aap to Rabb-ul Alameen hain (Beemar hone ke Aib se Paak hai)? Allah Ta'ala Farmayenge: Kya Tumhe Maloom Nahi tha ke Mera Falan Banda Beemar tha Tumne iski Ayadat na ki, Kya Tumhe Maloom nahi tha ke agar iski Ayadat karte to Mujhe iske Paas Paate? Adam ke Betel Maine tumse Khaana Maanga Tumne Mujhe Nahi Khilaya? Banda arz karga: Ae Mere Rabb! Mai Aapko kaise Khaana Khilata Aap to Rabb-ul Alameen hain? Allah Ta'ala Farmayenge: Kya Tumhe Maloom Nahi tha ke mere Falan Bande ne Tumse Khaana Maanga tha Tumne isko Khaana Nahi Khilaya kya Tumhe Maloom Nahi tha ke tum agar isko Khana Khilate to tum iska Sawab mere Paas Paate? Adam ke Bete! Maine tum se Pani Maanga tha Tumne Mujhe Pani Nahi Pilaya. Banda arz karega: Ae mere Rabb! Mai Aapko kaise Pani Pilata Aap to Rabb-ul-Alameen hain? Allah Ta'ala Farmayenge: Mere Falan Bande ne tumse Pani Maanga tha Tumne isko nahi Pilaya agar tum isko Pani Pilate to tum iska Sawab Mere Paas Paate.
{Muslim Sharif }
13}Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam me Irshaad Farmaya: Jab tum mein se kisi ka Khadim iske liye Khaana Tayyar Kare Phir wo iske Paas lekar Aaye jab ke isne iske Pakaane mein Garmi aur Dhuwein ki Takleef Uthayi hai to Maalik ko Chahiye ke is Khadim ko bhi Khaane mein Apne Saath Bithaye aur usse bhi Khilaye. Agar wo Khaana thoda ho (jo Dono k liye Kaafi na hosake) to Maalik ko Chahiye ke Khaane mein se ek do luqme hi is Khadim ko de de
{Muslim Sharif }
14}Hazrat Jaber Bin Abdullah" Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Aisa khabi nahi hua ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se kisi Cheez ka Sawal kiya Gaya ho. Aur Aap ne Dene se Inkaar Kardiya ho.
{Muslim Sharif }
FAIDA: Matlab ye hai ke Aap kisi bhi Haalat mein Sayal ke Saamne apni Zuban par Saaf inkaar ka lafz nahi laate the. Agar Aapke Paas Kuch hota to Fauran Inayat Farmadete aur Agar Dene Keliye Kuch na hota to wada Farmalete ya Khamoshi Ikhtiyaar Karlete ya Munasib Alfaaz mein uzr Farmadete ya Duwaya Jumle Irshaad Farmadete.
15}Hazrat Abu Moosa Ashari Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Bhooke ko Khaana Khilao, Beemar ki Ayadat karo aur (Nahaq) Qaidi ko Rehayi Dilaane ki Koshish karo.
{Bukhari Sharif }
16}Hazrat Haani Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke jab wo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat mein Hazir hue to Arz kiya:Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Kaunsa Amal Jannat ko Wajib karne Waala hai? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Tum Achchi Tarah Baat karne aur Khaana Khilane ko lazim pakdo.
{Mustadrak Hakim}
17}Hazrat Ma'aroor" Raziyallahu Anhu Farmate hain ke meri Hazrat Abu Zarr Raziyallahu Anhu se Muqaam Rabza mein Mulaqaat hui. Wo aur inka Ghulam ek hi Qism ka libaas Pehne hue the Maine inse is Baare mein Poocha |(ke kya Baat hai Aapke aur Ghulam ke Kapdon mein koi Farq Nahi hai) is par unhone ye Waqiya Bayan kiya ke ek Martaba Maine Apne Ghulam ko Bura Bhala kaha aur isi Silsile mein inko Maa ki Gairat Dialyi (ye khabr Rasool-AllahSallallahu Alaihi Wasallam ko Pahunchi) to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Abu Zara kya Tumne isko Maa ki Gairat Dilayi hai? Tum mein Abhi Jahalat ka Asar Baaqi hai. Tumhare Maatehat (log) Tumhare Bhai hai Allah Ta'ala ne inko Tumhara Maatehat Banaya hai. Lehaza jiske Maatehat iska bhai ho isko Wahi Khilaaye jo Khud Khaaye aur Wahi Pehnaye jo Khud Pehne Maatahaton se wo Kaam na lo jo inpar bojh Banjaye aur Agar koi aisa kaam lo to inka haath Batao.
{Bukhari Sharif}
18}Hazrat Abu Sayeed Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs kisi Musalman ko Nangepan ki Haalat mein Kapda Pehnata hai Allah Ta'ala isko Jannat ke sabz libas Pehnaige. Jo Shakhs kisi Musalman ko bhuk ki Haalat mein Khaana khilta hai Allah Ta'ala isko Jannat ke phal khilaenge. Jo Shakhs kisi Musalman ko Piyas ki Haalat mein Pani Pilata hai Allah Ta'ala isko aisi khaas Sharab Pilayenge jis par Mohar lagi hogi.
{Abu Dawood}
19}Hazrat Abdullah Bin Amr” Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke ek Shakhs ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se Daryaft kiya: Islam mein Sabse Behtar Amal Kaunsa hai? Irshaad Farmaya: Khaana Khilana aur (har ek ko) Salaam Karna Khuwah isse Tumhari Jaan Pehchaan ho ya na ho.
{Bukhari Sharif}
20}Hazrat Abdullah Bin Amr Raziyallahu Anhu Fiwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Rehman ki Ibadat karte Raho Khana Khilate Raho aur Salaam Phailate Raho (in Amaal ki Wajha se) Jannat mein Salamati ke Saath Dakhil Hojaoge.
{Tirmizi Sharif }
21}Hazrat Jaber Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Hajj-e-Mabrur ka Badla Jannat ke Siwa kuch nahi. Sahaba Karam "ne Arz kiya: Allah ke Nabi! Hajj Mabrur kya hai? Irshaad Farmaya: (Jis Hajj mein) Khaana Khilaya jaye aur Salaam Phailaya jaye.
{Musnad Ahmad}
22}Hazrat Jaber Bin Abdullah" Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Bhuke Musalman ko Khaana Khilana Maghfirat ko Wajib karne waale Amaal mein se hain.
{Baihaqi}
23}Hazrat Abdullah Bin Amr Bin Aas Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs apne (Musalman) bhai ko Pait bhar kar Khaana Khilata hai aur Pani Pilata hai Allah Ta'ala usse Jahanum se Saath Khandaqein Door Farmadete hain. Do Khandaqon ke Darmiyani Faisla Paanch sua Saal ki Musafat hai.
{Mustadrak Hakim}
24}Hazrat Jaber Bin Abdullah" se riwayat hai ke aisa khabi nahi hua ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se kisi cheez ka sawal kiya gaya ho. Aur Aap ne dene se inkaar kardiya ho.
[Muslim Sharif ]
FAIDA: Matlab ye hai ke Aap kisi bhi haalat mein sayal ke saamne apni zuban par saaf inkaar ka lafz nahi laate the. Agar aapke paas kuch hota to fauran inayat farmadete aur agar dene keliye kuch na hota to wada farmalete ya khamoshi ikhtiyaar karlete ya munasib alfaaz mein uzr farmadete ya duwaya jumle irshaad farmadete.
25}Hazrat Abu Moosa Ashari se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya: Bhooke ko khaana khilao, beemar ki ayadat karo aur (nahaq) qaidi ko rehayi dilaane ki koshish karo.
{Bukhari Sharif }
Post a Comment