Laayani Baat se Bachna
1}Hazrat Uqba Bin Aamir Raziyallahu Anhu Farmate Hain ke Maine Arz Kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Nijaat Haasil Karne ka Kya Tareeqa Hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Apni Zuban ko Qaboo Mein Rakho, Apne Ghar Mein Raho (Fuzool Baher na Phiro) Aur Apne Gunahon Par Roya Karo.
{Tirmizi Shareef}
2}Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se Riwayat Hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Banda Jab Tak Apni Zuban ki Hifazat na Karle Imaan ki Haqeeqat ko Haasil Nahi kar Sakta.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
3}Hazrat Abu Huzaifa Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sahaba se Poocha: Allah Ta'ala ke Nazdeek Sabse Pasandida Amal Kaunsa hai? Sab Khamoosh Rahe Kisi ne Jawaab na Diya to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Inshaad Farmaya: Sabse Pasandida Amal Zuban ki Hifazat Karna hai.
{Sahih Al- Bayhaqi}
4}Hazrat Haris Bin Hasham Raziyallahu Anhu se Riwayat Hai ke inhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz Kiya:Mujhe Koi Aisi Cheez Batadein Jise Mai Mazbooti se Pakde Rahoon. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Apni Zuban Mubarak ki Taraf Ishaara Karke Farmaya: Isko Apne Qaboo Mein Rakho.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
5}Hazrat Sahel Bin Saad Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Mujhe Apne Dono Jabdaon Aur Dono Taangon ke Darmiyaan Waale Azaa ki Zimmedari de de (ke wo Zuban Aur Sharmgah ko Ghalat Istemaal nahi Karega) to mai iske liye Jannat ki Zimmedari leta hoon.
{Bukhari Shareef}
6}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Aadmi ke Islaam ki Khoobi aur Kamaal ye hai ke wo Fuzool Kaamon aur Baaton ko Chorde.
{Tirmizi Shareef}
FAIDA: Hadees Shareef ka Matlab ye hai ke Bezarurat Baatein na Karna Aur Fuzool Mashgalon se Bachna Kamaal-e-Imaan ki Nishaani hai aur Aadmi ke Islaam ki Raunaq wa Zeenath hai.
7}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jisko Allah Ta'ala ne in Azaa ki Buraiyon se Bachaliya jo Dono Jabdaon aur Taangon ke Darmiyaan hain (Yani Zuban aur Sharmgah) to wo Jannat mein Daakhil hoga.
{Abu Dawood Shareef}
FAIDA: Apni Zuban ko Qaboo Mein Rakhne ka Matlab ye Hai ke iska Ghalat Istemaal na ho Masalan Geebat Karna, Chugli Khaana, Behuda Baatein Karna, Bila Zarurat Bolna, Baghair Ehtiyaat ke har Qism ki Baatein Karna, Behayayi ki Baatein Karna, ladayi Jhagda Karna, Gaali Dena, Insaan ya Janwar par laanat Karna, Shair wa Shayari mein har Waqt lage Rehna, Mazaaq Udaana, Raaz Zaahir Karna, Jhoota Waada Karna, Jhooti Qasam Khana, do Rang ki Baatein Karna, Bila Wajha Kisi ki Tareef Karna aur Bila Wajha Sawalat Karna.
8}Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Ek Shakhs Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Pass Aaye aur Arz Kiya: Ya Rasool Allah! Mujhe Wasiyat Famadijiye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Chand Wasiyatein Farmayi Jin Mein se Ek ye hai ke Apni Zuban ko Siwaye Khair ke har Qism ki Baat se Mehfooz Rakho isse Tum Shaitan Par Qaboo Paaloge.
{Abu Ya'la}
9}Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Insaan Jab Subah Karta hai to Iske Jism ke Tamaam Azaa Zuban se Nihayat Aajizi ke Saath Kehte hain ke to Humaare Baare Mein Allah Ta'ala se Darr, Kyunke Humara Muamla Tere hi Saath (Juda hua) hai. Agar to Seedhi Rahegi to hum bhi Seedhe Rahenge aur Agar to Tedhi Hogayi to Hum bhi Tedhe Hojaenge (aur Phir iski Saza Bhugatni Padegi).
{Tirmizi Shareef}
10}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se Poocha Gaya ke kis Amal ki Wajha se log Jannat Mein Zyada Dhakil honge? Irshaad Farmaya: Taqwa (Allah Ta'ala ka darr) aur Achche Akhlaaq. Aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se Pocha Gaya ke kis Amal ki Wajah se log Jahanum Mein Zyada Jayenge? Irshaad Farmaya: Mooh aur Sharmgah (ka Ghalat Istemaal).
{Tirmizi Shareef}
11}Hazrat Bard'a Bin Aazib" Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke ek Dihat ke Rehne Waale (Sahabi) ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat Hazir Hokar Arz Kiya: Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Mujhe Aisa Amal Batadijiye Jo Mujhe Jannat Mein Dhakil Karde? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Chand Amaal Irshaad Farmaye Jis Mein Ghulam ka Azaad Karna, Qarzdaar ko Qarz ke Bhoj se Azaad Karana aur Janwar ke Doodh se Faida Uthane Keliye Dusre ko Dene tha Iske Alawa Dusre Kaam bhi Batlaye. Phir Irshaad Farmaya: Agar ye na Hosake to Apni Zuban ko Bhali Baat ke Alawa Bolne se Roke Rakho.
{Sahih Al- Bayhaqi}
12}Hazrat Aswad Bin Asram Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Mujhe Wasiyat Farmadijiye Irshaad Farmaya: Apne Haath ko Qaboo Mein Rakho (ke Isse kisi ko Takleef na Pahunche) Mai ne Arz kiya: Agar Mera Haath hi Mere Qaboo Mein na Rahe to Phir aur Kya Cheez Qaboo Mein reh Sakti hai? Yani Haath to Mere Qaboo Mein Rehsakta. Irshaad Farmaya: Apni Zuban ko Qaboo Mein Rakho Maine Arz kiya: Agar Meri Zuban bhi Qaboo Mein na Rahe to Phir Aur kya Cheez Qaboo Mein Rehsakti hai? Yani Zuban to Mere Qaboo Mein Rehsakti hai. Irshaad Farmaya: To Phir Tum Apne Haath ko Bhale Kaam Keliye hi Badhao Aur Apni Zuban se Bhali Baat hi Kaho.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
13}Hazrat Aslam" Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Hazrat Omer Raziyallahu Anhu ki Nazar Hazrat Abu Bakkari Raziyallahu Anhu Par Padhi to (Dekha ke) Hazrat Abu Bakkari Raziyallahu Anhu Apni Zuban ko Keench Rahe Hain. Hazrat Omer Raziyallahu Anhu ne Poocha: Allah ke Rasool ke Khalifa! Aap ye Kya Kar Rahe Hain? Irshaad Farmaya: Yehi Zuban Mujhe Halakat ki Jagahon Mein le Aayi hai. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya tha ke Jism ka koi Hissa Aisa Nahi hai Jo Zuban ki Dadgoyi Aur Tezi ki Shikayat na Karta ho.
{Sahih Al- Bayhaqi}
14}Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Chup Raha wo Najaat Pagaya.
{Tirmizi Shareef}
FAIDA: Matlab ye hai ke Jis Shakhs ne Buri Aur Fuzool Baaton se Zuban ko Roke Rakha ise Duniya wa Aakhirat ki Bahutsi Afaton, Musibaton aur Nuqsanaat se Nijaat Milgayi Kyunke Aam Taur Par Insaan Jin Afaton Mein Mubtela Hota hai in Mein se Aksar ka Zariya Zuban hi Hoti hai.
15}Hazrat Hasan" Raziyallahu Anhu Farmate hain Humein ye Hadees Pahunchi hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala is Bande Par Rahem Farmaye Jo Achchi Baat Kare Aur Duniya wa Aakahirat Mein Iska Faida Uthaye ya Khamosh Rahe Aur Zuban ki lagzishon se Bachjaye.
{Sahih Al- Bayhaqi}
16}Hazrat Aadi Bin Hatim Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Aadmi ki Naikbakhti Aur Badbakhti iske Dono Jabdaon ke Darmiyan hai Yani Zuban ka Sahi Istemaal Naikbakhti Aur Ghalat Istemaal Badbakhti ka Zariya hai.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
17}Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu Farmate hai Meri Zuban Mere Ghar Walon Par Bahut Chalti thi Yani Mai inko Bahut Bura Bhala Kehta tha. Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Mujhe Darr hai ke Meri Zuban Mujh ko Jahanum Mein Dhakil Kardegi. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Phir Istagfaar Kahan Gaya? (Yani Istagfaar Kyun Nahi Karte Jisse Tumhari Zuban ki Islah Hojaye) Mai to Din Mein Sau Martaba Istagfaar Karta Hoon.
{Musnad Ahmad}
18}Hazrat Aadi Bin Hatim Raziyallahu Anhu te Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Aadmi ki Naikbakhti Aur Badbakhti iske Dono Jabdaon ke Darmiyan hai Yani Zuban ka Sahi Istemaal Naikbakhti Aur Ghalat Istemaal Badbakhti ka Zariya hai.
{Tibrani, Majma Al Zawa'id}
19}Hazrat Hasan" Raziyallahu Anhu Farmate hain Humein ye Hadees Pahunchi hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala is Bande Par Rahem Farmaye Jo Achchi Baat Kare aur Duniya wa Aakahirat Mein iska Faida Uthaye ya Khamosh Rahe Aur Zuban ki lagzishon se Bachjaye.
{Sahih Al- Bayhaqi}
20}
21}Hazrat Imran Bin Hattan Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Mai Hazrat Abu Zarr Raziyallahu Anhu ki Khidmat Mein Haazir Hua to Maine inko Masjid Mein is Haalat Mein Dekha ke Ek Kaali Kamli lapaite hue Akele Baithe hain. Mai ne Arz Kiya: Abu Zarr! ye Tanhayi Aur Yeksoi Kaisi hai Yani Aapne Bilkul Akele Aur Sabse Alag Thalag Rehna Kyun Ikhtiyaar Farmaya hai? Inho ne Jawaab Diya ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna ke: Bure Saathi ke Saath Baithne se Akele Rehna Achcha hai Aur Achche Saathi ke Saath Baithna Tanhayi se Behtar hai. Aur kisi ko Achchi Baatein Batana Khamoshi se Behtar hai Aur Buri Baatein Batana se Behtar Khamosh Rehna hai.
{Sahih Al- Bayhaqi}
22}Hazrat Abu Zarr Raziyallahu Anhu Farmate Hain ke Mai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat Mein Haazir Hua Ayr Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Mujhe Wasivat Farmadijiye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: Zyada Waqt Khamosh Raha Karo. (Ke Bila Zarurat koi Baat na ho) ye Baat Shaitan ko Door Karti hai Aur Deen ke Kaamon Mein Madadgar Hoti hai. Hazrat Abu Zarr Raziyallahu Anhu Afarmate hain ke Maine Arz kiya: Mujhe Kuch Aur Wasiyat Farmaiye. Aap ne Irshaad Farmaya: Zyada Hansne se Bachte Rehna Kyunke ye Aadat Dil ko Murda Kardeti hai Aur Chehre ke Noor ko Khatam Kardeti hai.
{Sahih Al- Bayhaqi}
23}Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hazrat Abu Zarr Raziyallahu Anhu se Mulaqat hui, Aap ne Irshaad Farmaya: Abu Zarr kya Mai Tumhein Aisi do Khaslatein na Batadoon Jin Par Amal Karna Bahut Asaan hai Aur Amaal ke Tarazu Mein Dusre Amaal ki ye Nisbat Zyada Bhaari Hain? Hazrat Abu Zarr Raziyallahu Anhu ne Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Zaroor Batla Dijiye. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Achche Akhlaaq Aur Zyada Khamosh Rehne ki Aadat Banalo. Qasam hai is Zaat ki Jiske Qabze Mein Mohammed ki Jaan hai Tamaam Makhluqat ke Amaal Mein ye do Amalon Jaise Achche koi Nahi.
{Sahih Al- Bayhaqi}
24}Hazrat Mu'az Bin Jabal Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se Poocha:Jo Baat Bhi Hum Karte Hain kya ye Sab Humare Amaal Naame Mein likhi Jaati Hain (Aur kya in Par Bhi Pakad Hogi)? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Tujh ko Teri Maa Roye! (Achchi Tarah Jaanlo ke) logon ko Naak ke Bal Dozakh Mein Giraane Waali Unki Zuban hi ki Buri Baatein hongi. Aur Jab Tak Tum Khamosh Rahoge (Zuban ki Aafat se) Bache Rahoge Aur Jab koi Baat Karoge to Tumhare liye Ajar ya Gunah likha Jayega.
{Tirmizi Shareef, Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
FAIDA: "Tujh ko Teri Maa Roye" Arbi Muhawra ke Mutabiq ye Pyaar ka Kalima hai Baduwa Nahi hai.
25}Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Insaan ki Aksar Galtiyaan iski Zuban se Hoti hain.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
26}Hazrat Abu Alhakam Gifarya Raziyallahu Anhu ki Sahebzadi ki Baandi" Farmati Hain ke Mai ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate Hue Suna: Ek Shakhs Jannat ke itne Khareeb Hojata hai ke iske Aur Jannat ke Darmiyan Ek Haath ka Faasla Rehjata hai Phir koi Aisa Bol Boldeta hai Jiski Wajha se Jannat se isse Bhi Zyada Door Hojata hai Jitna (Madine se Yaman ka Shaher) Sana'a Door hai.
{Musnad Ahmad, Majma Al-Zawa'id}
27}Hazrat Bilal Bin Haris Muzni Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Tum Mein se Koi Shakhs Allah Ta'ala ko Khush Karne Waali Aisi Baat Kehdeta hai Jisko wo Bahut Zyada Ahem Nahi Samajhta lekin is Baat ki Wajha se Allah Ta'ala Qayamat tak Keliye isse Raazi Hone ka Faisla Farmadete hain. Aur tum Mein se koi Shakhs Allah Ta'ala ko Naraaz Karne Waali Aisi Baat Kehdeta hai Jisko Bahut Zyada Ahem Nahi Samajhta lekin is Baat ki Wajha se Allah Ta'ala Qayamat Tak Keliye isse Naraaz Hone ka Faisla Farmadete hain.
{Tirmizi Shareef}
28}Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu Riwayat Karte Bain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Aadmi Sirf logon ko Hasane Keliye koi Aisi Baat Kehdeta hai Jis Mein koi Harj Nahi Samajhta lekin iski Wajha se Jahanum Mein Zameen Aasmaan ke Darmiyaani Faasle se Bhi Zyada Gehrayi Mein Pahunch Jaata hai.
{Musnad Ahmad}
29}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Banda Allah Ta'ala ki Razamandi ki Koi Aisi Baat Kehdeta hai Jisko Wo Ahem Bhi Nahi Samajhta lekin iski Wajha se Allah Ta'ala iske Darjaat Buland Farmadete Hain Aur Banda Allah Ta'ala ki Naraazgi ki koi Aisi Baat Kehdeta Jiski Wo Parwah Bhi Nahi Karta lekin iski Wajha se Wo Jahanum Mein Gir Jata hai.
{Bukhari Shareef}
30}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Riwayat Karte Hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Banda Kabhi Besonche Samjhe koi Aisi Baat Kehdeta Hai Jiski Wajhe se Mashriq Maghrib ke Darmiyani Faasle se Bhi Zyada Door Dozakh Mein ja Girta hai.
{Muslim}
31}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Riwayat Karte Hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Insaan koi Baat Kehdeta hai Aur iske Kehne Mein Hari Nahi Samajhta lekin iski Wajha se Jahanum Mein Sattar Saal ki Musafat ke Barabar (Neeche )Girjata hai.
{Tirmizi Shareef}
32}Hazrat Amro Bin Aas Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Irshaad Farmate hue Suna: Mujhe Mukhtasar Baat Karne ka Hukm Diya Gaya hai Kyunke Mukhtasar Baat Karna hi Behtar hai.
{Abu Dawood Shareef}
33}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Allah Ta'ala Par Aur Aakhirat ke Din Par Imaan Rakhta ho Usko Chahiye ke Khair ki Baat Kahe ya Khamosh Rahe.
{Bukhari Shareef}
34}Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Zauja Mohtrama Hazrat Um Habeeba" Raziyallahu Anhu Farmati hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Naiki ka Hukm Karne ya Burayi se Rokne ya Allah Ta'ala ka Zikr Karne ke Alawa Insaan ki Tamaam Baatein is Par Wabaal Hain Yani Pakad ka Zariya Hain.
{Tirmizi Shareef}
35}Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala ke Zikr ke Alawa Zyada Baatein na Kiya Karo, Kyunke Isse Dil Mein Sakhti (Aur Behasi) Paida Hoti hai Aur logon Mein Allah Ta'ala se Zyada Door wo Aadmi hai Jiska Dil Sakht ho.
{Tirmizi Shareef}
36}Hazrat Mughaira Bin Shauba Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Allah Ta'ala ne Tumhare liye Teen Cheezon ko Napasand Farmaya hai. Ek (Befaida) Idhar Udhar ki Baatein Karna, Dusre ke Maal ko Zaya Karna,Teesre Zyada Sawalat Karna.
{Bukhari Shareef}
37}Hazrat Amaar Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Duniya Mein Jis Shakhs ke Do Rukh ho (Yani Munafiq ki Tarah Mukhtalif logon se Mukhtalif Qism ki Baatein Kare) to Qayamat ke Din iske Mooh Mein Aag ki Do Zubanein Hongi.
{Abu Dawood Shareef}
38}Hazrat Mu'az a Raziyallahu Anhu ne Arz Kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Mujhe Aisa Amal Bata Dijiye Jo Mujhe Jannat Mein Daakhil Karde. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala Par Imaan lao Aur Bhali Baat Kaho, Tumhare liye Ajar likha Jayega Aur Buri Baat na Kaho Tumhare liye Gunah likha Jayega.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
39}Hazrat Muawiya Bin Haida Raziyallahu Anhu Farmate Hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate Hue Suna: Is Shakhs Keliye Barbaadi hai Jo logon ko Hasane Keliye Jhoot Bole.Is Keliye Tabahi hai,is Keliye Tabahi hai.
{Tirmizi Shareef}
40}Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Jab Banda Jhoot Bolta hai to Farishta iske Jhoot ki Badbu ki Wajha se Ek Meel Door Chala Jaata hai.
{Tirmizi Shareef}
41}Hazrat Sufiyan Bin Aseed Hazarmi Raziyallahu Anhu Farmate Hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: ye Bahut Badi Khayanat Hai ke Tum Apne Bhai se koi Jhooti Baat Bayan karo Halanke wo Tumhari is Baat ko Sachcha Samajhta ho.
{Abu Dawood Shareef}
FAIDA: Matlab ye hai ke Jhoot Agarcha Bahut Sangeen Gunah hai lekin Baaz Surtaon Mein iski Sangeeni Aur Bhi Zyada Badh Jati hai. In Mein se Ek Surat ye Bhi hai ke Ek Shakhs Tum Par Poora Etemaad Kare Aur Tum iske Etemaad se Najayaz Faida Utha kar isse Jhoot Bolo Aur isko Dhoka do.
42}Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu Riwayat Karte Hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Momin Mein Paidaishi Taur Par Saari Khaslatein ho Sakti hain (Khuwah Achchi ho ya Buri) Albatta Khayanat Aur Jnoot ki (Buri) Aadat Nahi ho Sakti.
{Musnad Ahmad}
43}Hazrat Safwaan Bin Sulaim" Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se Poocha Gaya: Kya Momin Buzdil ho Sakta hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Ho Sakta hai. Phir Poocha Gaya: Kya Bakheel ho Sakta hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Ho Sakta hai. Phir Poocha Gaya: Kya Jhoota ho Sakta hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Faramaya: Jhoota Nahi ho Sakta.
{Motta Imam Malik}
44}Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Tum log Apne Baare Mein Mujhe Che(6) Cheezon ki Zamanat de do Mai Tumhare liye Jannat ki Zimmedari leta Hoon. (1) Jab Tum Mein se koi Bole to Jhoot na Bole. (2) Jab Waada Kare to Waada Khilaafi na Kare. (3) Jab Kisi ke Pass Amanat Rakhi Jaaye to Khayanat na Kare. (4) Apni Nigaahon ko Neechi Rakho Yani Jin Cheezon ko Dekhne se Mana kiya Gaya hai Unpar Nazar na Padhe. (5) Apne Haaton ko (Nahaq Maarne Waghaira se) Roke Rakho. (6) Apni Sharmgah ki Hifazat Karo.
(Abu Ya'la, Majma Al-Zawa'id}
45}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Aadmi ke Gunahgar Hone Keliye Yehi Kaafi hai ke Wo har Suni Sunayi Baat ko Baghair Tehqeeq ke Bayan Kare.
{Abu Dawood Shareef}
46}Hazrat Hafs Bin Asim Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Aadmi ke Jhoota Hone Keliye Yehi Kaafi hai ke Wo Jo Kuch Sune ise (Baghair Tehqeeq) ke Bayan Karde.
{Muslim Shareef}
FAIDA: Matlab ye hai ke Kisi Suni Sunayi Baat ko Baghair Tehqeeq ke Bayan Karna Bhi Ek Darje ka Jhoot hai Jiski Wajha se logon ka is Aadmi Par se Etemaad Uth Jata hai.
47}Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Bilashuba Sach Bolna Naiki ke Raaste Par Daal Deta hai Aur Naiki Jannat tak Pahuncha Deti hai. Aadmi Sach Bolta Rehta hai Yahan tak ke ise Allah Ta'ala ke Yahan Siddiq (Bahut Sachcha) likh Diya Jata hai. Aur Bilashuba Jhoot Burayi ke Raaste Par Daal Deta hai aur Burayi isko Dozakh tak Pahuncha Deti hai. Aadmi Jhoot Bolta Rehta hai Yahan tak ke Allah Ta'ala ke Yahan ise Kazaab (Bahut Jhoota) likh Diya Jata hai.
{Muslim Shareef}
48}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Meri Saari Ummat Mu'afi ke Qabil hai Siwave Unlogaon ke Jo Khullam Khulla Gunah Karne Waale Honge. Aur Khullam Khulla Gunah Karne Mai ye Bhi Shamil hai ke Aadmi Raat Mein koi Bura Kaam Kare Aur Phir Subah ko Bawajud is Baat ke ke Allah Ta'ala ne iske Gunah Per Parda Daaldiya (Isse logaon Per Zahir na Hone Diya) Woh Kahe Falane! Maine Guzishta Raat Falan Falan Ghalat Kaam Kiya tha.Halanke isne Raat is Tarah Guzari thi ke iske Rabb ne iski Parda Poshi Kardi thi Aur ye Subah ko Parda Hata Raha hai Jo (Raat Allah Ta'ala ne is Per Daal Diya tha).
{Bukhari Shareef}
49}Hazrat Abdur Rehman Bin Abu Bakkari Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Saamne Ek Shakhs ne Dusre Aadmi ki Taareef ki (Aur Jiski Taareef ki Jarahi thi Wo Bhi Wahan Maujood tha) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Afsos hai Tum Par, tu ne to Apne Bhai ki Gardan tod Di. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Baat Teen Martaba Irshaad Farmayi (Phir Farmaya ke) Agar Tum Mein se Koi Shakhs kisi ki Taareef Karna hi Zaroori Samjhe Aur isko Yaqeen Bhi ho ke Wo Achcha Aadmi hai Phir Bhi Yun Kahe ke Falan Aadmi ko Mai Achcha Samajhta Hoon, Allah Ta'ala hi iska Hisaab lene Waale hain (Aur Wohi isko Haqeeqat Mein Jaanne Waale hain ke Achcha hai ya Bura) Mai to Allah Ta'ala ke Saamne kisi ki Tareef Yaqeen ke Saath Nahi Karta.
{Bukhari Shareef}
50}Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu Farmate Hain ke Sahaba Mein se Ek Shakhs ka Inteqaal Hogaya to Ek Dusre Shakhs ne (Marhum ko Mukhatib kar ke) Kaha:Tumhe Jannat ki Basharat ho.Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne is Shakhs se Irshaad Farmaya: Ye Baat Tum kis Tarah keh Rahe ho Jab ke Haqeeqat-e-Haal ka Tumhe ilm Nahi hai. Hosakta hai ke is Shakhs ne koi Aisi Baat Kahi ho Jo Befaida ho ya kisi Aisi Cheez Mein Bukhal kiya ho Jo Diye Jaane ke Bawajood Kum Nahi Hoti (Masalan ilm ka Sikhana ya koi Cheez Araitan Dena ya Allah Ta'ala ki Marziyat Mein Maal ka Kharch Karna ke ye ilm Aur Maal ko Kum Nahi Karta).
{Tirmizi Shareef}
FAIDA: Hadees Shareef ka Matlab ye hai ke kisi ke Jannati Hone ka Hukm lagane ki Jurrat Nahi Karni Chahiye Balke Amaal Saleha ki Wajha se Umeed Rakhni Chahiye.
51}Hasrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Agar koi Shakhs ye Kahe ke log Tabah Hogaye to wo Shakhs in Mein Sabse Zyada Tabah Hone Wala hai (Kyunke ye Kehne Wala Dusron ko Haqeer Samjhne ki Wajah se Tukkabur ke Gunah mein Mubtela hai).

Post a Comment