google.com, pub-9249155875479010, DIRECT, f08c47fec0942fa0 google-site-verification: google0516535da7af5dd8.html Dua - Quran aur Hadees Channel

Header Ads

Dua

Fazail e Dua

 

1}Hazrat Abu Huraira RaziyallahuAnhu se Riwayat karte hain ke Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala ke Nazdeek Dua se Zyada Buland Martaba koi
Cheez Nahi.

{Tirmizi Sharif }

2}Hazrat Jaber Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Maine Nabi Kareem Sallallahu
Alaihi Wasallam
ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Har Raat Mein ek Ghadi aisi hoti hai ke
Musalman Banda is mein Duniya wa Aakhirat ki jo khair Maangta hai Allah Ta'ala ise Zaroor
Ataa Farmate hain.

{Muslim Sharif }

3}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  ne Irshaad Farmaya:Jo Shakhs ye Chahe ke Allah Ta'ala Sakhtiyon aur Bechaniyon ke Waqt iski Dua Qubool Farmaye ise Chahiye ke woh Khushhali ke Zamane mein Zyada Dua kya kare.

{Tirmizi Sharif }


4}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Teen Dua’ein khaas taur par Qubool ki jati hain Jinke Qubool hone mein koi Shak nahi. (Aulaad ke haq mein) Baapki Dua, Musafir ki Dua aur Mazloom ki Dua.

{Abu Dawood Sharif }


5}Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Riwayatkarte hain ke Rasool- Allah Sallallahu Alaihi Wasallam
ne Irshaad Farmaya:Dua Momin ka Hatiyaar hai, Deen ka Sutoon hai aur Zameen wa Asmaan ka
Noor hai.

{Mustadrak Hakim}



No comments

Powered by Blogger.