google.com, pub-9249155875479010, DIRECT, f08c47fec0942fa0 google-site-verification: google0516535da7af5dd8.html Fazail e Sunnat Aur Nafil - Quran aur Hadees Channel

Header Ads

Fazail e Sunnat Aur Nafil

Fazail e Sunnat Aur Nafil


1} Hazrat Ayeshd"Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko Nawafil (aur Sunnaton) mein se kisi Namaz ka itna Ehtemam na tha Jitna ke Fajr ki Namaz se Pehle Do Rakat Sunnat Padhne ka Ehtemam tha.

{Muslim Sharif}


2} Hazrat Omer Bin Khattab Raziyallahu Anhu Farmate hai ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh Irshaad Farmate hue Suna:Zawal ke Baad Zohar se Pehle ki Chaar Rakatein Tahajud ki Chaar Rakataon ke Barabar hain. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Is Waqt har Cheez Allah Ta'ala ki Tazbeeh Karti hai. Phir Aayat-e-Karima Tilawat Farmayee Jiska Tarjuma yeh hai: Saya daar Cheezein aur inke Saaye Zawal ke waqt Kabhi ek Taraf ko aur Kabhi Dusri Taraf ko Ajizi ke Saat Allah Ta'ala ko Sajda Karte hue Jhuke Jaate hain.

{Tirmizi Sharif}


3} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Se Riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Jo Shakhs Ramzan ki Raat mein Allah Ta'ala ke Wadaon par Yakeen Karte hue aur iske Ajar wo Inaam ke Shauq Mein Namaz Padhta hai iske Pichle Sab Gunah Mu'af Hojate hain.

{Bukhari Sharif}


4} Hasrat Abdullah Bin Omer " Raziyallahu Anhu Se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Inshaad Farmaya: Allah Ta'ala Us Shakhs par Rahem Farmainge jo Asar se Pehle Chaar Rakat Padhta hai.

{Abu Dawood}


5} Hazrat Abdulla Bin Sayeb Raziyallahu Anhu Se Riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Zohar se Pehle Zawal ke Baad Chaar Rakat Padhte the aur Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Yeh wo Ghadi hai jis mein Aasmaan ke Darwaze Khol Diye Jaate hain Isliye Mai Chahta hoon ke is Ghadi Mein Mera koi ek Amal Aasmaan ki Taraf Jaye.

{Tirmizi Sharif}

FAIDA: Zohar se Pehle ki Chaar Rakat se Murad Chaar Rakat Sunnat Maukida hain. Aur Baaz Ulma ke Nazdeek Zawal ke Baad yeh Chaar Rakat Zohar ki Sunnat Maukida ke Alawa hain.



6} Hazrat Abdul Rehman Raziyallahu Anhu With se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne (Ek Martaba) Ramzan ke Mahine ka Zikr Karte hue Irshaad Farmaya: Yeh Aisa Mahina hai Jiske Rozaon ko Allah Ta'ala ne tum par Farz kiya hai aur Maine Tumhare liye iski Tarawih ko Sunnat Kharar Diya. Jo Shakhs AllahTa'ala ke Wadaon par Yakeen karte hue aur iske Ajar wo Inaam ke Shauq Mein is Mahine ke Roze Rakhta hai aur Tarawih Padhta hai woh Gunahon Se is Tarha Paak Saaf Hojata hai Jaisa ke Apni Maa Se Aaj hi Paida hua ho.

{Ibn Ma'jah}


7} Hazrat Umm Habeeba Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Bhi Momin Banda Zohar ke Baad Chaar Rakatein Padhta hai Usse Jahanum ki Aag Insha Allah Kabhi nahi Chuyegi.

{Nisai}


8} Hazrat Umm Habeeba Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Zohar se Pehle Chaar Rakatein aur Zohar ke Baad Chaar Rakatein Pabandi se Padhta hai Allah Ta'ala usse Dozaq ki Aag Haraam Farmadete hai.

{Nisai}


9} Hazrat Ayesha Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Fajr ki Do Rakat Sunnaton ke Baare mein Irshaad Farmaya: Yeh do Rakatein Mujhe Sari Duniya se Zyada Mehboob hain.

{Muslim Sharif}


10} Hazrat Ayesha"Raziyallahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka Irshaad Naql Farmati hai: Jo Shakhs Bara(12) Rakatein Padhne ki Pabandi karta hai Allah Talala uske liye Jannat mein Mahal Banate hai.Chaar(4) Rakatein Zohar se Pehle,do(2)Rakatein Zohar ke Baad,do(2)Rakatein isha Le Baad aur,do(2)Rakatein Fajr se Pehle

{Nisai}

11} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Farmate hai ke mai ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Irshaad Farmate hue Suna:Qayamat ke Din Aadmi ke Amaal Mein Sabse Pehle Namaz ka Hisab Kiya Jayega. Agar Namaz Achchi hui to Who Shakhs Kamiyaab aur Bamuraad hoga aur Agar Namaz Kharab hui to who Nakaam aur Namuraad Hoga.Agar Farz Namaz Mein Kuch Kami hui to Alla Ta'ala Irshaad Farmainge:Dekho! Kya Mere Bande ke Paas Kuch Nafilein Bhi hai Jinse Farzaon ki Kami Puri Kardi Jaye. Agar Nafilein Hongi to AllahTa'ala unse Farzaon ki Kami Puri Farmadenge.Iske Baad Phir isi Tarha Baaqi Amaal Roza, Zakat Wagaira ka Hisaab Hoga Yani Farz Rozaon ki Kami Nafil Razaon se Puri ki Jayegi aur Farz Zakat ki Kami Nafili Sadqat se Puri ki Jayegi

{Tirmizi Sharif}



No comments

Powered by Blogger.