Fazail e Quran
Quran Hadees
1} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu
Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya Jo Shakhs Raat mein Dus Aayaton ki tilawat
kare wo is Raat Allah Ta'ala ki ibadat se gaafil rehne waalon mein shumaar nahi hoga.
{Mustadrak Hakim}
2} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu
Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Raat Mein Sau Aayat ki Tilawat kare wo
is Raat Ibadat Guzaaron Mein Shumaar kiya Jayega.
{Mustadrak Hakim}
3}Hazrat Abdullah Bin Amr Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya Roza aur Qur'an Kareem Dono Qayamat ke Din Bande Keliye Shafaat Karenge Roza Arz Karega Ae Mere Rabb Maine isko Khaane aur Nafsani Khuwahish Poori Karne Se Roke Rakha Meri Shafaat iske Baare mai Qubool Farmaiye Qur'an Kareem Kahega Maine Isse Raat ko Sone se Roka (ke ye Raat ko Nawafil Mein Meri Tilawat Karta tha) Meri Shafaat iske Baare Mein Qubool Farmaiye Chunacha Dono iske liye Sifarish Karenge.
{Musnad Ahmad,Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
4} Hazrat Ayesha Raziyallahu Anhu Riwayat karti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
Wasallam ne Irshaad Farmaya: Hafiz-e-Qur'an Jise Yaad bhi Khoob ho aur Padhta bhi
Achcha ho iska Hashar Qayamat Mein un Mu'aziz Farmabardaar Farishton ke
Saath hoga jo Qur'an Shareef ko looh-e- Mehfooz se naql karne waale hain.Aur jo
Qur'an Shareef ko Atak Atak kar Padhta hai Aur is Mein Mushaqat Uthata hai iske liye
Dohra Ajar hai.
{Muslim Sharif }
5} Abdullah Bin Amr se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne
Irshaad Famaya: (Qayamat ke Din) Sahib-e Qur'an se Kaha Jayega: Qur'an Shareef Padhta
Ja aur Jannat ke Darjon Par Chadtaja aur Teher Teher kar Padh Jaisa Ke tu Duniya
Mein Teher Teher kar Padha Karta tha.Bus tera Muqaam wohi hoga Jahan
Teri Aakhiri Aayat ki Tilawat Khatam hogi.
{Tirmizil Sharif }
6} Hazrat Bara'a Raziyallahu Anhu Riwayat Karte Hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Achchi Awaaz se Qur'an Shareef ko Muzayan Karo Kyunke Achchi Awaaz Qur'an Kareem ke Husn ko Badha Deti Hai.
{Mustadrak Hakim}
7}Hazrat Abu Sayeed Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Hadees Qudsi Bayan Farmayi Allah Ta'ala ka ye Farmaan hai: Jis Shakhs ko Quran Shareef ki Mashguli ki Wajha se Zikr Karne aur Dua Maangne ki Fursat nahi Milti, mai isko Dua Maangne Waalon se Zyada Ata Karta Hoon. Aur Allah Ta'ala ke Kalaam ko Saare Kalaamon par aisi hi Fazilat hai Jaise Khud Allah Ta'ala ko Tamaam Makhlooq par Fazilat hai.
{Tirmizi Sharif }
Alaihi Wasallam is ne Irshaad Farmaya Allah Ta'ala itna kisi ki taraf Tawajah nahi Farmate
Jitna ki is Nabi ki Awaaz ko Tawajah se Sunte hain jo Qur'an Kareem khush-al-hani se Padhta hai.
{Muslim Sharif }
9}Hazrat Abdullah Bin Masood Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Qur'an Kareem ka Ek Hurf Padhe iske liye Ek Hurf ke Badla Ek Naiki hai. Aur Ek Naiki ka Ajar Dus Naiki ke Barabar Milta hai. Mai ye Nahi Kehta ke Sara Ek Hurf hai Balke Alif Ek Harf,lam Ek Hurf aur Meem Ek Hurf hai Yani ye Teen Hurf hue is Par Tees Naikiyaan Milengi
{Tirmizi Sharif }
10}Hazrat Omer Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala is Qur'an Shareef ki Wajha se Bahut se logon ke Martabe ko Buland Farmate hain aur Bahutsaon ke Martabe ko Ghatate hain Yani jo log is Per Amal Karte hain Allah Ta'ala inko Duniya wa Aakhirat Mein Izzat Aata Farmate hain. Aur Jo log is Par Amal Nahi Karte Allah Ta'ala inko Zaleel Karte hain.
{Muslim Sharif }
11}Hazrat Abu Zarr Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujhse Irshaad Farmaya:Qur’an Kareem ki Tilawat aur Allah Ta'ala ke Zikr ka Ehtemaam kiya karo,is Amal se Aasmanon Mein Tumhara Zikr hoga aur ye Amal Zameen Mein Tumhare liye Hidayat ka Noor hoga.
{Baihaqi}
Post a Comment