Fazail e Juma
Fazail e Juma
1} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Farmate hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jab Juma ka din hota hai Farishte Masjid ke Darwaze par khade ho Jaate hain. Pehle Aane Waale ka Naam pehle, uske Baad Aane Waale ka Naam uske Baad likhte hain (is Tarha Aane Waalon ke Naam inke Aane ki Tarteeb se likhte Rehte hain). Jo Juma ki Namaz keliye Sawere Jaata hai use ount Sadqa karne ka Sawab Milta hai. Uske Baad Aane Waale ko Gaye Sadqa karne ka Sawab Milta hai. Uske Baad Aane Waale ko Mendah uske Baad Aane Waale ko Murgi uske Baad Aane Waale ko Anda Sadqa karne ka Sawab Milta hai. Jab Imaam Qutba Dene keliye Aata hai to Farishte apne woh Register jin mein Aane Waalon ke Naam likhe Gaye hain lapait dete hain aur Qutba Sunne mai Mashgool hojate hain.
{Bukhari Sharif}
2} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ek Martaba Juma ke Din Irshaad Farmaya: Musalmano! Allah Ta'ala ne is Din ko Tumhare liye Eid ka Din Banaya hai lehaza is Din Ghusal kiya karo aur Miswak ka Ehtemam kiya karo.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
3} Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Juma ke Din ka Ghusal Gunahaon ko Baalaon ki Jadaon tak se Nikal deta hai.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
4} Hazrat Salman Farsi Raziyallahu Anhu Riwayat karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Juma ke Din Ghusal Karta hai, Jitna Hosake Paaki ka Ehtemam Karta hai aur Tail lagata hai ya Apne Ghar se Khusbu ka Istemaal karta hai Phir Masjid Jata hai. Masjid Pahunchkar jo do Aadmi Pehle se Saath Baithe ho Unke Darmiyan mein nahi Baithta aur Jitni Taufeeq ho Juma se Pehle Namaz Padhta hai. Phir jab Imaam Qutba deta hai isko Tawajha aur Khamoshi se Sunta hai to us Shakhs ke is Juma se Guzishta Juma tak ke Gunahaon ko Mu'af Kardiya Jata hai.
{Bukhari Sharif}
{Bukhari Sharif}
5} Hazrat Abu Ayub Anasari Raziyallahu Anhu Farmate hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh Irshaad Farmate hue Suna: Jo Shakhs Juma ke din Ghusal karta hai, Agar Khushbu ho to Usse bhi Istemaal karta hai, Achche Kapde Pahanta hai, uske Baad Masjid Jaata hai. Phir Masjid se Aakar Agar Mauqa hoto Nafil Namaz Padhleta hai aur kisi ko Takleef nahi Pahunchata yani logaon ki Gardano ke Upar se Philangta hua Nahi Jata. Phir jab Imaam Qutba Dene keliye Aata hai us Waqt se Namaz hone Tak Khamosh rehta hai yani koi Baat Cheet Nahi karta yeh Amaal is Juma se Guzishta Juma Tak ke Gunahaon ki Mu'afi ka Zariya Hojate hain.
{Musnad Ahmad}
{Musnad Ahmad}
6} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Achchi Tarha Wazu Karta hai, Phir Juma ki Namaz Keliye Aata hai, Khoob Dehaan se Qutba Sunta hai aur Qutbe ke Dauraan Khamosh Rehta hai to is Juma se Guzishta Juma tak aur Mazeed Teen Din ke Gunah Mu'af kardiye Jate hain.Jis Shakhs ne Kankarion ko haat lagaya yani Dauran-e-Qutba unse Khelta raha (ya haat, Chatayee, Kapde Wagaira se Khelta raha) to isne Fazool Kaam kiya (aur iski Wajha se Juma ka Khaas Sawab Zaya Kardiya),
{Muslim Sharif}
{Muslim Sharif}
Post a Comment