Azan Hadees
1} Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se Riwayta hai ke
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:
Azaan aur Aqamat ke Darmiyani Waqt Mein
Dua Rad Nahi hoti yani Qubool hoti hai.Sahaba Karam ne arz Kiya:Ya
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Hum kya
Dua Maange?
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:
Allah Ta'ala se Duniya wa Aakhirat ki Afiyat Maanga karo.
{Tirmizi Sharif }
2} Hazrat Jaber Raziyallahu Anhu se Riwayat hai Ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Jab Namaz keliye Aqamat kahi jati hai to Aasmaan ke Darwaze khol diye jate hain aur Dua Qubool ki jati hai.
{Musnad Ahmad}
3} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Mouzan ke Gunah Wahan tak Mu’af Kardiye Jaate hain Jahan tak uski Awaaz Pahunchti hai (Yani agar Musafat tak ki Jagah iske Gunahaon se Bhar Jaye to bhi wo sab Gunah Mu’af Kardiye Jaate hain).Jandaar, Bejaan jo Mouzan ki Awaaz Sunte hain woh sab Qayamat ke din iski Gawahi Denge. Mouzan ki Awaaz per Namaz Mein Aane Waale keliye Pachchees (25) Namazaon ka Sawab likhdiya Jata hai aur ek Namaz se Pichli Namaz tak ke Darmiyani Auqaat ke Gunah Mu’af kardiye Jaate hain.
{Abu Dawood
Sharif }
FAIDA - Baaz Ulma ke Nazdeek Pachchees (25) Namazaon ka Sawab Mouzan keliye hai aur iski Ek Azaan se Pichli Azaan tak ke Darmiyani Gunahaon ki Mu'afi hojati hai.
{Bazal Al-Majhood}
4} Hazrat Omar Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Moazan ki Awaaz Jahan,Jahan tak Pahunchti hai Wahan tak uski Maghfirat kardi Jaati hai, har Jandaar aur Bejaan jo uski
Azaan ko Sunte hai uske liye Maghfirat ki Dua karte hain.Ek Riwayat mein hai ke har Jandaar aur Bejaan uski
Azaan ka Jawab dete hain
{Musnad Ahmad, Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
5} Hazrat Abu Sa'asa Farmate hain ke Hazrat AbuSayeed Raziyallahu Anhu ne Mujhse Farmaya Jab tum Junglaat mein hua karo to Buland Awaaz Se
Azaan diya karo kyunke Maine
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Moazan ki Awaaz ko jo Daraqt,Mitti ke Dhele, Pathar, Jin aur Insaan Sunte hain wo sub Qayamat ke Din Moazan keliye Gawahi Denge.
{Ibn Khuzaima}
6} Hazrat Bara'a Bin Aazib Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Bilashuba Allah Ta'ala agli Saf Walaon Par Rehmat Bhejte hain, Farishte inke liye Dua-e-Rehmat karte hain. Aur Mauzan ke itne hi Zyada Gunah Mu'af kiye Jaate hain Jitni hadh tak woh apni Awaaz Buland kare, jo Jaandar aur Bejaan iski Azaan Sunte hain iski Tasdeeq karte hain.Aur Mauzan ko in Tamaam Namaziyaon ke Barabar Ajar Milta hai Jinhaune iske Saat Namaz Padhi.
{Nisai}
FAIDA: Baaz Ulma ne Hadees-e-Shareef ke Dusre Jumle ka yeh Matlab bhi Bayan Farmaya hai ke Mauzan ke woh Gunah jo Azaan Dene ki Jagah se Azaan ki Awaaz Pauhanchne ki jagah tak ke Darmiyani ilaqe Mein hue ho Sab Mu’af kardiye jate hain.Ek Matlab yeh bhi Bayan kiya gaya hai ke Mauzan ki Azaan ki Awaaz jahan tak Pauhanchti hai Wahan tak ke Rehne wale logaon ke Mauzan ki Sifarish ki wajha se Mu'afkar diya jayega.
Post a Comment