google.com, pub-9249155875479010, DIRECT, f08c47fec0942fa0 google-site-verification: google0516535da7af5dd8.html Ayat-al-Kursi - Quran aur Hadees Channel

Header Ads

Ayat-al-Kursi

    Ayat-al-Kursi

1} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Surah Baqra mein Ek Aayat hai jo Qur'an Shareef  ki Tamaam Aayateon ki Sardaar hain. Wo Aayat Jaise hi kisi Ghar Mein Padhi Jaye aur Wahan Shaitaan ho to Fauraan Nikal Jata hai, wo Ayat-al-Kursi hai.

{Mustadrak Hakim}


2}Hazrat Abu Ayub Ansari Raziyallahu Anhu ki Riwayat mein hai ke Shaitan ne yun Kaha: Tum Apne Ghar Ayat-al-Kursi Padha karo Tumhare Paas koi Shaitan jin Wagaira na Aayega.

{Tirmizi Sharif}


3}Hazrat Ma'qal Bin Yasaar Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Qur'an Kareem ki Choti yani Sabse uncha hissa Surah Baqra hai. Iski har Aayat ke Saath Assi(80) Farishte Utre hain aur Ayat-al-Kursi Arsh Neeche se Nikaali gayi hai yani Allah Ta'ala ke Khaas Khazane se Nazil hui hai. Phir isko Surah Baqra ke Saath Miladiya Gaya yani is mein Shamil Kardiya Gaya. Aur Surah Yaseen Qur'an Kareem ka dil hai. Isko jo Shakhs Allah Ta'ala ki Raza aur Aakhirat ki Niyat se Padhe ga to Yaqinan iski Magfirat kar Dijayegi. Lehaza is Surat ko apne Marne Waalon ke Paas Padha karo (Taake Rooh ke Nikalne mein Aasani ho)

{Musnad Ahmad}

FAIDA: Hadees Shareef mein Surah Baqra ko Qur'an Kareem ki Choti Ghaliban is Wajha se Farmaya hai ke Islaam ke Bunyadi usool aur Aqaid aur Shariyat ke Ehkaam ka Jitna Tafseeli Bayan Surah Baqra mein kiya Gaya hai itna aur is Tarah Qur'an Kareem ki kisi Dusri Surat mein Nahi kiya Gaya.


4}Hazrat Abi Bin Ka'ab Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Mujh se Irshaad Farmaya: Abu Almunzir! (Ye Hazrat Abi Bin Ka'ab ki Kuniy'at hai) kya tum Jaante ho ke Kitaab Allah ki Kaunsi Ayat Tumhare Paas Sabse Zyada Azmath Waali hai? Maine arz kiya Allah aur unke Rasool hi Sabse Zyada Jaante hain. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Dobara Poocha: Abu Almunzir! kya tum Jaante ho ke Tumhare Paas Kitaab Allah ki Sabse Azeem Aayat Kaunsi hai? Maine arz kiya(Ayat-al-Kursi) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne mere Seene par haath Maara (Goya is Jawaab par Shabaashi di) aur Irshaad Farmaya: Abu Almunzir! Tujhe Ilm Mubarak ho. 

 {Muslim Sharif}

5}Ek Riwayat mein Ayat-al-Kursi ke Baare mein Farmaya: Qasam hai is Zaat ki ji ke Qabze mein meri Jaan hai is Aayat ki Ek Zuban aur Do Hont hain jo Arsh ke Paaye ke Paas Allah Ta'ala ki Paaki Bayan karte hain.

{Musnad Ahmad, Majma Al-Zawa'id}

6}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Har Cheez ki koi Choti hoti hai (jo Sabse upar aur Balatar hoti hai) aur Qur'an Kareem ki Choti Surah Baqra hai. Aur is mein Ek Aayat aisi hai jo Qur'an Kareem ki Saari Aayaton ki Sardar hai, wo Ayat-al-Kursi hai.

{Tirmizi Sharif}





No comments

Powered by Blogger.