google.com, pub-9249155875479010, DIRECT, f08c47fec0942fa0 google-site-verification: google0516535da7af5dd8.html Namaz-e-Tahajud - Quran aur Hadees Channel

Header Ads

Namaz-e-Tahajud

Namaz-e-Tahajud


1}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya Ramzan-al-Mubarak ke Baad Sabse Afzal Roze Mah-e-Muharram ke hai aur Farz Namazon ke Baad Sabse Afzal Namaz Raat ki (Namaz-e-Tahajud) hai. 

{Muslim}

2}Hazrat Ayas Bin Muawiya Mazni” Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu
Alaihi Wasallam
 ne Irshaad Farmaya: Tahajud Zaroor Padha karo Agarcha itni Thodi dair hi keliye
ho jitni dair mein bakri ka Doodh doha jata ahi aur jo Namaz bhi isha ke Baad Padhi Jaye wo Tahajud
mein Shamil hai.
 
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}

FAIDA: So kar Uthne ke baad jo Nafil Namaz Padhi jaye ise Tahajud kehte hain. Baaz Ulma ke
Nazdeek isha ke Baad sone se Pehle jo Nafil Padhli Jaye wo bhi Tahajud hai.


3}Hazrat Abullah Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne
Irshaad Farmaya: Raat ki Nafil Namaz Din ki Nafil Namaz se Aise hi Afzal hai Jaisa ke Chup kar
Diya hua Sadqa Alaniya Sadqa se Afzal hai.

{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}


4}Hazrat Abu Umama Bahli Raziyallahu Anhu se Riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
Wasallam
ne Irshaad Farmaya: Tahajud Zaroor Padha karo wo Tum se Pehle ke Naik logaon ka
Tareeqa Raha hai, isse Tumhein Apne Rabb ka Qarh hasil hoga, Gunah Mu’af honge aur Gunahon
se bache rahoge. 

{Mustadrak Hakim}


5}Hazrat Abu Darda'a Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
Wasallam
ne Irshaad Farmaya: Teen Shakhs Aise Hain Jinse Allah Mohabbat Farmate hain aur 
inhe Dekh kar Behad khush Rehte hain. In mein se ek Wo Shakhs hai jo Jihad mein Allah Ta'ala 
ki Khushnaudi keliye akela ladta Rahe jab ke is ke Sab Saathi Maidan Chord jaye phir ya to wo
Shaheed hojaye ya Allah Ta'ala iski Madad Farmaye aur ise Galba Ataa Farmayein.Allah Ta'ala (Farishton se) Farmate hain. Mere is Bande ko Dekho! Meri Khushnaudi ke khatir kis tarah Maidan mein jama raha Dusra wo Shakhs hai Jiske Pehloo mein Khoobsurat biwi ho aur Behtareen Narm 
bistar Maujood ho aur phir wo (in Sab ko Chord kar)Tahajud mein Mashgool hojaye.Allah Ta'ala Farmate hain: Dekho! Apni Chahaton ko Chord raha hai aur Mujhe yaad kar Raha hai Agar Chahta to sota Rehata. Teesra wo Shakhs hai jo Safar mein Qafile ke Saath ho aur Qafile waale Raat dair tak jag kar so Chuke ho. Ye Aakhir Shab mein Tabiyat Chahein na Chahein har haal Mein Tahajud ke liye uth Khada ho.

{Tibrani, Targheeb}


6}Hazrat Abu Malik Ashari Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi
Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jannat mein Aise Bala Khaane hain jin mein Andar ki Cheezein
Bahar se aur Bahar ki Cheezein Andar se Nazar Aati hain. Ye Bala Khaane Allah Ta'ala in logon
keliye Tayyar Farmaye hain jo loagon ko Khaana Khilaate hain, Khoob Salaam Phailate hain aur
Raat us waqt Namaz Padhte hain jab log so Rahe hote hain.

{Ibn Hibban}


7}Hazrat Sahel Bin Saad” Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Hazrat Jibrael Nabi Kareem
Sallallahu Alaihi Wasallam
ki Khidmat Mein Hazir hue aur arz kiya: Mohammed ! Aap Jitna bhi
Zinda hain ek din Maut Aani hai. Aap jo chahe Amal kare iska Badla Aap ko Diya Jayega. Jisse
Chahein Mohabbat kare Aakhir ek din isse Juda hona hai.Jaan lijiye ke Momin ki Buzrugi Tahajud
Padhne mein hai aur Momin ki Izzat logaon se Beniyaaz Rehne mein hai.

{Tibrani, Targheeb}


8}Hazrat Mutalib Bin Rabi'a Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
Wasallam
ne Irshaad Farmaya: Raat ki Namaz do do Rakaatein hain lehaza jab tum mein se koi
Namaz padhe to har do Rakaaton ke Aakhir mein Tashahud Padhe. Phir Dua mein israr kare,
Maskanat ikhtiyar kare, Bekasi aur Kamzori ka Izhaar kare. Jisne aisa na kiya iski Namaz Adhuri
hai.

{Musnad Ahmad}

FAIDA: Tashahud ke Baad dua, Namaz mein bhi aur Salaam ke Baad bhi Maangi Jasakti hai.



No comments

Powered by Blogger.