Apne Waaldein ke Saath Achcha Sulook kare
Apne Waaldein ke Saath Achcha Sulook kare
1} Hazrat Abu Usaid Bin Malik Rabiya Saadi Raziyallahu Anhu Farmate hain ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat mein haazir the. Qabile Bano Salma ke Ek Shakhs Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat mein haazir hue aur Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Kya mere liya Apne Waaldein ke Intekhal ke Baad in Dono ke Saath husn-e-Sulook ki koi Surat Mumkin hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Haan! Inke liye Duwayein karna, Allah Ta'ala se unke liye Maghfirat Talab karna, inke baad inki Wasiyat ko Poora karna, jin logon se inki Wajha se Rishtedaari hai unke Saath husn-e-Sulook karna aur unke Doston ka Ikraam karna.
{Abu Dawood}
2} Hazrat Malik Ya Ibn-e-Malik Raziyallahu Anhu se Riwayat hai unho ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Jis Shakhs ne Apne Waaldein ya in mein se kisi Ek ko paya phir inke Saath Badsulooki ki to wo Shakhs Dozakh mein Daakhil hoga aur isko Allah Ta'ala apni Rehmat se Dur Kardenge aur jo koi Musalman kisi Musalman Ghulam ko Azaad karde ye iske liye Dozakh se Bachao ka Zariya hoga.
{Abu Ya'la, Targheeb}
3} Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu Farmate hain ke maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Sabse Badhi Naiki ye hai ke Beta (Baapke Intekhaal ke Baad) Baap se ta’luq Rakhne waalon ke Saath Achcha Sulook kare.
{Muslim Sharif}
4} Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu Farmate hain ke maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Jo Shakhs apne Waalid ke Wafat ke Baad unke Saath Silah Rehmi karna Chahe Jabke wo Qabr mein hai to isko Chahiye ke apne Baapke Bhaiyon ke Saath Achcha Sulook kare.
{Ibn Hibban}
5} Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu on Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: jis Shakhs ko ye Pasand ho ke iski Umar Daraaz ki Jaye aur iske Rizq ko Bada Diya Jaye isko Chahiye ke Apne Waaldein ke Saath Achcha Sulook kare aur Rishtedaron ke Saath Silah Rehmi kare.
{Musnad Ahmad}
6} Hazrat Asma Bint-e-Abi Bakar" Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Zamaane mein meri Waalda jo misar ki thi (Makkah se Safar karke) mere Paas (Madina) Aayi. Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se Masla Maaloom kiya aur Poocha: Meri Waalda Aayi hai aur Mujhse Milna Chahti hai to kya mai Apni Waalda ke Saath Silah Rehmi Karsakti hoon? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Haan! Apni Waalda ke Saath Silah Rehmi karo.
{Bukhari Sharif }
7} Hazrat Ayesha” Raziyallahu Anhu se Riwayat hai Farmati hai ke maine Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Aurat par Sabse Zyada haq kis ka hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad Farmaya: Iske Shauhar ka hai. Maine Daryaft kiya ke Mard par Sabse Zyada haq kis ka hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Iski Maa ka hai.
[Mustadrak Hakim]
8} Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke ek Sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat mein Haazir hue aur Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Maine Ek Bahut Bada Gunah Karliya hai to kya Meri Tauba Qubool Hosakti hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Kya Tumhari Maa Zinda hai? Inhone Arz kiya: Nahi. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: kya Tumhari koi Qala hai? Arz kiya: ji haan. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Inke Saath Achcha Sulook Karo (Allah Ta'ala iski Wajha se Tumhari Tauba Qubool Farmalenge).
{Tirmizi Sharif}
9} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Wo Aadmi Zaleel wa Khuwar ho, Phir Zaleel wa Khuwar ho, Phir Zaleel wa Khuwar ho! Arz kiya Gaya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Kaun (Zaleel wa Khuwar ho)? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Wo Shakhs jo Apne Maa Baap mein se kisi Ek ko ya Dono ko Budhape ki Halat mein Paye Phir (Unki Khidmat se Unka Dil Khush Karke) Jannat mein Daakhil na ho.
{Muslim Sharif}
10} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Ek Shakhs ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki Khidmat mein Haazir hokar Daryaft kiya: Mere husn Sulook ka Sabse Zyada Mustahiq kaun hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Tumhari Maa. Isne Poocha Phir kaun. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Faramaya: Tumhaari Maa. Isne Poocha phir kaun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam si ne Irshaad Farmaya: Tumhaari Maa. Isne Poocha Phir kaun? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Phir Tumhara Baap.
{Bukhari Sharif}
11} Hazrar Ayesha Raziyallahu Anhu Riwayat karti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Mai Soya to maine Khuwab Dekha ke mai Jannat mein hoon. Maine Wahan kisi Qur'an Padhne Waale ki Awaaz Suni to mai ne kaha: Ye kaun hai (jo Yahan Jannat mein Qur'an Padh Raha hai)? Farishton ne Bataya ke ye Harisa Bin Nomaan hai. Iske Baad Hazrat Ayesha se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Naiki aisi hi hoti hai, Naiki aisi hi hoti hai yani Naiki ka Phal Aisa hi hota hai. Harisa Bin Nomaan Apni Waalda ke Saath Bahut hi Achcha Sulook Karne Waale the.
{Musnad Ahmad}
12} Hazrat Mu'az Raziyallahu Anhu se Riwayat Karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jis ne Apne Waaldein ke Saath Achcha Sulook kiya Uske liye Khushkhabri ho ke Allah Ta'ala Uski Umar mein Izafa Farmayenge.
{Mustadrak Hakim}
13} Hazrat Abu Darda'a Raziyallahu Anhu Farmate hain ke mai ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Baap Jannat ke Darwazon mein se Behtareen Darwaza hai. Chunacha Tumhe ikhtiyaar hai Khuwah (iski Nafarmani Karke aur Dil Dukha ke) is Darwaze ko Zaya kardo ya iski Farmanbardari aur isko Raazi Rakh kar) is Darwaze ki Hifazat karo.
{Tirmizi Sharif }
14} Hazrat Abdullah Bin Amr Raziyallahu Anhu se Riwayat karte hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala ki Razamandi Waalid ki Razamandi mein hai aur Allah Ta'ala ki Naraazgi Waalid ki Naraazgi mein hai.
{Tirmizi Sharif}
15} Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs ye Chahe ke iske Rizq mein Faraqi ki Jaye aur iski Umar Daraaz ki jaye isko Chahiye ke Rishtedaron ke Saath Sila Rehmi kare.
{Bukhari Sharif}
16} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Allah Ta'ala par aur Aakhirat ke Din par Imaan Rakhta hai isko Chahiye ke Apne Mehmaan ka Ikram kare. Jo Shakhs Allah Ta'ala par aur Aakhirat ke din per Imaan Rakhta hai isko Chahiye ke wo Sila Rehmi kare yani Rishtedaron ke Saath Achcha Sulook kare. Jo Shakhs Allah Ta'ala aur Aakhirat par Imaan Rakhta hai isko Chahiye ke Bhalayi ki Baat kare Warna Khamosh Rahe.
{Bukhari Sharif}
17} Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu Riwayat karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Naikiyon ka Karna Buri Maut se Bachaleta hai, Chupkar Sadqa Dena Allah Ta'ala ke Gusse ko Thanda Kardeta hai. Aur Sila Rehmi yani Rishtedaron se Achcha Sulook karna Umar ko Badata hai
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
FAIDA: Sila Rehmi mein ye Baat Shamil hai ke Aadmi Apni Kamayi se Rishtedaron ki Maali Khidmat kare ya ye ke Apne Waqt ka Kuch hissa inke Kaamon mein lagaye.
18}Hazrat Alaa Bin Kharja Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Apne Nasb ka ilm hasil karo Jiske Zariye se tum Apne Rishtedaron se Sila Rehmi Karsako.
{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}
19}Hazrat Sayeed Bin Zaid Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Beshak ye Rahem yani Rishtedari ka haq Allah Ta'ala ke Naam Rehman se liya Gaya hai yani ye Rishtadari Rehman ki Rehmat ki Ek Shaakh hai jo is Rishtedari ko todhe ga Allah Ta'ala is par Jannat Haraam Kardenge.
(Muslim, Majma Al-Zawa'id]
20}Hazrat Jabeer Bin Mut'aam Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke inhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Khata Rehmi (Rishtedaron se Badsulooki) karne Waala Jannat mein Nahi Jayega.
{Bukhari Sharif}
FAIDA. Khata Rehmi Allah Ta'ala ke Nazdeek itna Sakht Gunah hai ke is Gunah ki Gandagi ke Saath koi Jannat mein na ja Sakega haan jab isko Saza de kar Paak Kardiya jaye ya isko Mu’af Kardiya jaye to Jannat mein Jasakega .
21} Hazrat Abdullah Omer"Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Wo Shakhs Sila Rehmi karne Waala Nahi hai jo Barabari ka Muamla kare yani Dusre ke Achche Bartao karne par isse Achcha Bartao kare Balke Sila Rehmi karne Waala to wo hai jo Dusre ke Qatta Rehmi Karne Par bhi sila Rehmi kare.
{Bukhari Sharif}
22} Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke ek Shakhs ne Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam mere Baaz Rishtedaar hai mai Unse ta’luq Jodta hoon aur wo Mujhse ta’luq todte hai, mai unke Saath Achcha Sulook karta hoon wo mere Saath Badsulooki karte hai aur mai inke Ziyadatiyon ko Bardasht karta hoon wo Mujhse Jahalat se Pesh Aate hain. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jaisa tum keh| Rahe ho Agar Aisa hi hai to Goya tum unke Mooh mein Garm Garm Raakh Jhoonk Rahe ho. Aur jab tak tum is Khoobi par Qayam Rahoge Tumhare Saath har Waqt Allah Ta'ala ki taraf se ek Madadgar Rahega.
{Muslim Sharif}
Post a Comment