google.com, pub-9249155875479010, DIRECT, f08c47fec0942fa0 google-site-verification: google0516535da7af5dd8.html Zikr - Quran aur Hadees Channel

Header Ads

Zikr

                                                    Fazail e Zikr


 Subhan Allah }              

1}Hazrat Saad Raziyallahu Anhu Farmate hain ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
Wasallam ki Khidmat mein Baithe hue the Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad
Farmaya: Kya tum mein se koi Shakhs har roz ek Hazaar Naikiyaan kamaane se Ajiz hai? Aap
Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas Baithe hue logon mein se ek ne Sawal kiya:Hum mein se koi
Aadmi ek Hazar Naikiyan kis Tarah kama Sakta hai?Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Subhan Allah Sau (100) Martaba Padhe iske liye ek Hazar Naikiyan likh di Jayege aur iske 
ek Hazaar Gunah Mu’af kardiye Jayenge.

[Muslim]

2}Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu
Alaihi Wasallam se irshaad farmaya: Jo log Allah Ta'ala ke Zikr keliye jamaa ho, aur inka
Maqsood sirf Allah Ta'ala hi ki raza ho to Asmaan se ek farishta Allah Ta'ala ke hukm
se is Majlis ke khatm hone par Elaan karta hai ke Bakhshe Bakhshaye uth jao.Tumhari Buraiyon
ko Naikiyon se Badal diya Gaya hai.

[Musnad Ahmad, Tibrani, Abu Ya'la, Bazzar Majma Al Zawa'id]

3}Hazrat Abu Huraira aur Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu Dono Hazraat is Baat
ki Gawahi dete hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Jamaat
Allah Ta'ala ke Zikr mein Mashgool ho Farishte is Jamaat ko Ghair lete hain, Rehmat inko Dhaanp leti
hai, Sakinat in par Naazil hota hai aur Allah Ta'ala inka Tazkira Farishton ki Majlis mein Farmate hain.

{Muslim}

No comments

Powered by Blogger.