google.com, pub-9249155875479010, DIRECT, f08c47fec0942fa0 google-site-verification: google0516535da7af5dd8.html Namaz - Quran aur Hadees Channel

Header Ads

Namaz

          Fazail e Namaz

        Namaz Deen ka Sutoon hai


1}Hazrat Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi
   Wasallam ne Irshaad Farmaya:Namaz Deen ka Sutoon hai.

  {Hulya Al-Aulia,Jaame Sagheer}


2}Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam
 ne Aakhiri Wasiyat ye Irshaad Farmayi:Namaz, Namaz. Apne Ghulamaon aur Matehataon ke Baare mein Allah Ta'ala se daro yani inke Huqooq ada karo.

{ Abu Dawood Shareef }

                       Meri Aankhaon ki Thandak Namaz hai


3}Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Riwayat karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Meri Aankhaon ki Thandak Namaz me rakhi gayi hai. 

{Nisai}

           Jannat ki kunji Namaz hai



4}Hazrat Jaber Bin Abdullah"Raziyallahu Anhuse Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jannat ki kunji Namaz hai aur Namaz ki kunji Wazu hai.

{ Musnad Ahmad Shareef }



5}Hazrat Hanzala Osaidi Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Paanchon Namazaon ki is tarah Pabandi kare ke Wazu aur Auqaat ka Ehtemam kare, Ruku aur Sajda Achchi Tarha kare aur is Tarha Namaz Padhne ko Allah Ta'ala ki Taraf se Apne Zimme Zaroori Samjhein to is Aadmi ko Jahanum ki Aag per haram Kardiya Jayega.

{ Musnad Ahmad Shareef }

6}Hazrat Obada Bin Samit Raziyallahu Anhu Farmate hai ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam it ko ye Irshaad Farmate hue Suna: Allah Ta'ala ne Paanch Namazein Farz Farmayi hai. Jo Shakhs in Namazaon ke liye Achchi tarah Wazu karta hai, unhe Mustahab Waqt mein ada karta hai,Ruku (sajdah) Itmenan ke Saath karta hai, aur Poore Khushu se Padhta hai to Allah Ta'ala ka Wada hai ke uski Zaroor Maghfirat Farmayege. Aur jo Shakhs in Namazaon ko Waqt per ada nahi karta aur na hi Khushu se Padhta hai to use Maghfirat ka koi Wada nahi.Chahe Maghfirat Farmaye Chahe Azaab Dein.

{ Abu Dawood Shareef }

7}Hazrat Abdulla Bin Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya:Teen Shakhs aise hai Jinko Qayamat ki Sakht Ghabrahat ka Khauf nahi hoga, na unko Hisaab Kitaab Dena Padega. Jab tak Makhlooq apne Hisaab Kitaab se Farigh ho woh Musk ke Telaon par Tafreeh Karenge.Ek woh Shakhs Jisne Alla Ta'ala ki Raza ke live Qur'an-e-Shareef Padha aur is Tarha Imamat ki ke Muqtadi isse Razi rahe. Dusra woh Shakhs jo Allah Ta'ala ki Raza keliye logaon ko Namaz ke liye Bulata ho.Teesra woh Shakhs jo apne Rabb se bhi Achcha Muamla Rakhe aur apne Matehtaon se bhi Achcha Muamla Rakhe.

{ Tirmizi Shareef }

8}Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi
Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala kisi Bande ko Do Rakaat Namaz ki Taufeeq de dein isse behtar koi cheez nahi hai. Banda jab tak Namaz mein Mashgool rehta hai Bhalaiyan iske sar par Bikhair di Jaati hain aur Bande Allah Ta'ala ka khurb is cheez se Badhkar kisi aur cheez ke Zariya hasil nahi kar Sakte jo Khud Allah Ta'ala ki Zaat se Nikalti hai yani Qur'an-e-Shareef.

{ Tirmizi Shareef }

FAIDA: Hadees Shareef ka Matlab yeh hai ke Allah Ta'ala ka Sabse Zyada Khurb Qur’an Kareem ki Tilawat se hasil hota hai.

9}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ek Qabr ke Paas se Guzre. Aap ne Daryaft Farmaya: Yeh Qabr kis Shakhs ki hai? Sahaba" ne Aarz kiya: Falan Shakhs ki hai. Aap ne Irshaad Farmaya: Is Qabr Waale Shakhs ke Khareeb do Rakataon ka Padhna Tumhari Duniya ki Baakhi Tamaam Cheezon se Zyada Pasandida hai.

{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}

FAIDA: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke Irshaad ka Maqsad yeh hai ke Do Rakat ki Qimat Tamaam Duniya ke Saaz wa Saman se Zyada hai, iska sahi ilm Qabr mein Pahunch kar hoga.

10}Hazrat Abu Zarr, Raziyallahu Anhu Farmate hai ke ek baar Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam is Sardi ke Mausam Mein BaharTashreef laye, Patte Darakhtaon se gir rahe the.Aap ne Ek Darkht ki do Tehniya haat mein li inke Patte aur bhi Girne lage.Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Abu Zarr! Mai ne Arz kiya: Labaik ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap ne Irshaad Farmaya:Musalman Banda jab
Allah Ta'ala ko Razi karne Keliye Namaz Padhta hai to iske Gunah aise hi Girte hain Jaise yeh Patte is Darakht se gir rahe hain.

{ Musnad Ahmad Shareef }

          Namaz kasrat se Padha karo


11}Hazrat Abu Fatima Raziyallahu Anhu Se Farmate hai ke Mujhse Nabi Kareem Sallallahu
Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmava: Abu Fatima! Agar tum Mujhse (Aakhirat Mein) Milna Chahte ho to Sajde Zyada kiya karo yani Namazein kasrat se
Padha karo.

{ Musnad Ahmad Shareef }

12}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Tum Mein se jo Shakhs Achchi Tarah Wazu Karta hai aur Wazu ko Kamal Darje tak Pahuncha deta hai. Phir Sirf Namaz hi ke Iraade se Masjid mein Aata hai to Allah Ta'ala is Bande se Aise Khush hote hain Jaise ke kisi Door Gaye hue Rishtedaar ke Achanak Aane se iske Ghar Waale khush hote hain.

{Ibn Khuzaima}

13}Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se Riwayta hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Apne Ghar se Achchi Tarah Wazu kar ke Faraz Namaz ke Iraade se Nikalta hai ise Ahram Bandh kar Hajj par Jaane Waale ki Tarah Sawab Milta hai. Aur jo Shakhs sirf Chasht ki Namaz Padhne ke liye Mushaqat utha kar Apni Jaga se Nikalta hai ise Umrah karne Waale ki Tarah Sawab Milta hai. Ek Namaz ke Baad Dusri Namaz is Tarah Padhna ke Darmiyaan mein koi Fuzool kaam aur Befaida Baat na ho, ye Amal unche Darje ke Amaal mein likha Jata hai.

{ Abu Dawood Shareef }

14}Hazrat Salman Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Apne Ghar mein Achchi Tarah Wazu kar ke Masjid Aata hai wo Allah Ta'ala ka Mehmaan hai (Allah Ta'ala iske Mezbaan hain) aur Mezbaan ke Zimma hai ke Mehmaan ka Ikraam kare.

{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}

15}Hazrat Jaber Bin Abdullah " Raziyallahu Anhu Farmate hain ke Masjid Nabwi ke ird Gird kuch Zameen khali Padi thi. Banu Salma (jo Madina Munawara mein ek Qabeela tha inke Makanaat Masjid se Door the) inhone Iraada kiya ke Masjid ke Qareeb hi kahin Muntaqil Hojayein. Ye Baat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam tak Pahunchi to Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne inse Irshaad Farmaya: Mujhe ye khabr mili hai ke tum log Masjid ke Qareeb Mutaqil hona Chahte ho. Inhone arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! Beshak hum yehi Charahe hain. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Banu Salma wahin Raho! Tumhare (Masjid tak Aane ke) Sab Qadam likhe Jaate hain, wahin Raho Tumhare (Masjid tak Aane ke) Sab Qadam likhe Jaate hain.

{ Muslim Shareef }



16}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jab tum mein se koi Shakhs Apne Ghar se meri Masjid keliye Nikalta hai to iske Ghar wapis hone tak har Qadam par ek Naiki likhi jati hai aur har Dusre Qadam par ek Burai Mitayi jati hai.

{Ibn Hibban}

17}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Har Insaan ke Zimme hai ke har din jis mein Suraj Nikalta hai apne Badan ke har Jodh ki taraf se (iski Salamati ke Shukrane mein) ek Sadqa Adaa kare. Tumhara do Aadmiyon ke Darmiyaan Insaaf Kardena Sadqa hai. Kisi Aadmi ko iski Sawari par Bithane mein ya iska Samaan Uthakar is par Rakhwane mein iski Madad karna Sadqa hai. Achchi Baat kehna Sadqa hai. Har wo Qadam jo Namaz keliye Uthao Sadqa hai aur Raaste se Takleefdah Cheez ko Hatado ye bhi Sadqa hai.

{ Muslim Shareef }


18}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya Qayamat ke Din Allah Ta'ala in logon ko jo Andheron mein Masajid ki Taraf Jaate hain, (Chaaron Taraf) Phailne Waale Noor se Munawar Farmainge.

{Tibrani, Majma Al-Zawa'id}


19}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwqayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya Andheron mein Bakasrat Masjidon mein Jaane Waale log hi Allah Ta'ala ki Rehmat mein Ghauta lagane Waale hain.

{Ibn Ma'jah, Targheeb}


20}Hazrat Buraidah Raziyallahu Anhu se Riwayta hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Jo log Andheron mein Bakasrat Masjidon ko Jaate Rehte hain inko Qayamat ke Din Poore Poore Noor ki Khush Khabri Suna Dijiye.

{ Abu Dawood Shareef }

21}Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Kya mai Tumhein aisi Cheez na Batlaon Jiske Zariye Allah Ta'ala Gunahon ko Mu’af Farmadete hain aur Naikiyon mein Izafa Farmadete hain? Sahaba ne arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! Zaroor Irshaad Farmaiye. Farmaya: Tabiyat ke Nagawari ke Bawajood (Masalan Sardi ke Mausam mein) Achchi tarh Wazu karna, Masjid ki taraf Kasrat se Qadam Uthana aur ek Namaz ke Baad Dusri Namaz ke Intezaar mein Rehna. Jo Shakhs bhi Apne Ghar se Wazu kar ke Masjid mein Aaye aur Musalmanon ke Saath Bajamaat Namaz Padhe Phir iske Baad Waali Namaz ke Intezaar mein Baith Jaaye to Farishte iske liye Dua karte Rehte hain: Ya Allah! iski Maghfirat Farmadijiye, Ya Allah! is par Rahem Farmadijiye.

{Ibn Hibban}


22}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Kya mai Tumhein Aise Amal na Batlao Jinki Wajah se Allah Ta'ala Gunahon ko Mitate hain aur Darje Buland Farmate hain? Sahabď ne Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! Zaroor Batlaiye. Irshaad Farmaya: Nagawari wa Mushaqat ke Bawajood Kamil Wazu Karna, Masajid ki taraf kasrat se Qadam Uthana aur ek Namaz ke Baad Dusri Namaz ke Intezaar mein Rehna yehi Haqeeqi Ribat hai.

{ Muslim Shareef }

FAIDA: "Ribat" ke Mashhoor Maane " Islami Sarhad par Dushman se Hifazat keliye Padhao Daalne" ke hain jo Bada Azeem-ul-Shaan Amal hai. Is Hadees Shareef mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne in Amaal ko Ribaat Galiban is lehaaz se Farmaya ke Jaise Sarhad par Padhao Daal kar Hifazat ki jati hai isi Tarah in Amaal ke Zariye Nafs wa Shaitaan ke Hamlon se Apni Hifazat ki Jati hai.

{Mirqat}


23}Hazrat Uqba Bin Aamir Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jab koi Shakhs Achchi tarah Wazu karta hai phir Masjid Aakar Namaz ke Intezaar mein Rehta hai to iske Amaal likhne Waale Farishte har is Qadam ke Badle jo isne Masjid ki taraf Uthaya Dus Naikiyaan likhte hain. Aur Namaz ke Intezaar mein Baithne Waala Ibadat karne Waale ki tarah hai. Aur Ghar se Nikalne ke waqt se le kar Ghar wapis lautne tak Namaz Padhne Waalon mein Shumaar kiya Jata hai.

{ Musnad Ahmad Shareef }



24}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Tum mein se woh Shakhs us waqt tak Namaz ka Sawab Pata Rehta hai Jab tak woh Namaz ke Intezar mein Rehta hai.Farishte uske liye Dua karte Rehte hai Ya Allah iski Maghfirat Farmaiye aur is par Reham Farmaiye. (Namaz Padhne ke Baad bhi Jab tak Namaz ki Jagah Bawazu Baitha Rehta hai Farishte Uske liye yehi Dua karte Rehte hai.

{ Bukhari Shareef }


25}Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Ek Namaz ke Baad Dusri Namaz ke Intezar mai Baithe Rehne wala us Shehsawar ki tarha hai jis ka Ghoda Usse Allah Ta'ala ke Raaste mai Tezi se lekar Daude. Namaz ka Intezar karne Waala (Nafs-o- Shaitan ke Khilaf) Sabse Bade Morche par hai.

{Musnad Ahmad, Tibrani, Targheeb}


26}Hazrat Arbaz Bin Sariya Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Pehli Saf Walaon ke liye Teen Martaba aur Dusri Saf Walaon ke liye Ek Martaba Dua-e Maghfirat Farmate the.

{Ibn Ma’jah}

27}Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala Pehli Saf Walaon keliye Rehmat Nazil Farmate hai aur iske Farishte Unke liye Rehmat ki Dua karte hain. Sahaba” ne Arz kiya: Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam! kya Dusri Saf Walaon keliye bhi yeh Fazilat hai? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Dusri Saf Walaon keliye bhi yeh Falizat hai. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne yeh bhi Irshaad Farmaya: Apni Safaon ko Sidha Rakha karo, Kandhaon ko Kandhaon ki Seedh mai Rakha karo, Safaon ko Sidha Rakhne mein Apne Bhaiyaon keliye Narm ban Jaya karo aur Safaon ke Darmiyani khala ko pur kiya karo is liye ke Shaitan (Safaon mein khali jagah Dekh kar) tumhare Darmiyan bhed ke Bachchaon ki tarha Ghus Jata hai.

{Musnad Ahmad, Tibrani, Targheeb}

FAIDA: Bhaiyaon keliye Narm ban Jane ka Matlab yeh hai ke Agar koi Saf Seedhi karne keliye tum Par Haath Rakh kar Aage Peeche hone ko kahe to iski Baat Maan liya karo.



28}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Mardaon ki Safaon mai Sabse Zyada Sawab Pehli Saf ka hai aur Sabse kum Sawab Aakhri Saf ka hai. Aurtaon ki Safaon mai Sabse Zyada Sawab Aakhri Saf ka hai aur Sab se kum Sawab Pehli Saf ka hai.

{ Muslim Shareef }

29}Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Tum Mein Behtareen log woh hai jo Namaz mein Apne Moundeh Narm Rakhte hain. Sabse Zyada Sawab Dilane Waala woh Khadam hai Jisko insan Saf ki khali Jagah ko pur karne ke liye Uthata hai.

{ Bazzar, Ibn Hibban, Tibrani, Targheeb }

FAIDA: Namaz Mein Moundeh Narm Rakhne ka yeh Matlab hai ke Jab koi saf Mein Dakhil hona Chahe to Dayein Bayein ke Namazi iske liye Apne Moundhaon ko Narm karde Taake Aane Wala Saf mai Dakhil ho jaye.


30}Hazrat Abu Hujaifa Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jis Shakhs ne Saf Mein Khali Jagah ko pur kiya Uski Maghfirat kardi Jati hai.

{ Bazzar, Majma Al-Zawa'id }


31}Hazrat Bara'a Bin Aazib Raziyallahu Anhu Riwayat karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala Agli Safaon se Khareeb Saf Walaon Par Rehmat Nazil Farmate hain aur iske Farsihte unke liye Dua karte hain.Allah Ta'ala ko is Khadam se Zyada koi khadam Mehboob Nahi Jisko Insan Saf ki khali Jagah ko pur kar ne Keliye Uthata hai.

{ Abu Dawood Shareef }


32}Hazrat Ayesha Raziyallahu Anhu Riwayat karti hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala Safaon ki Dayein Janib khade hone Walaon Par Rehmat Nazil Farmate hai aur Farishte unke liye Maghfirat ki Dua karte hain.

{ Abu Dawood Shareef }


33}Hazrat Ibn Abbas Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Masjid Mein Saf ki Bayein Janib isliye Khada hota hai ke Wahan log kum Khade hain to ise do Ajar Milte hain.

{ Tibrani, Majma Al-Zawa'id }

FAIDA: Sahaba Karamo ko Jab Maloom hua ke Saf ke Dayein hisse ki Fazilat Bayein ke Muqabile mein Zyada hai to Sabko Shauq hua ke issi Taraf Khade ho Jiski Wajha se Bayein Taraf ki Jagah khali Rehne lagi, Is Mauqe Par Nabi Kareem ne Bayein Janib Khade hone ki Fazilat bhi Irshaad Farmayee.


34}Hazrat Bara'a Bin Aazib Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Saf Mein Ek Kinare se Dusre Kinare tak Tashreef laate, Humare Seenaon aur Kaandhaon par Haath Mubarak Phair kar Safaon ko Seedha Farmate aur Irshaad Farmate: (Safaon mein) Aage Peeche na Raho Agar Aisa hua to Tumhare Dilaon mai Ek Dusre se Ekhtilaf Paida hojaye ga aur Farmaya karte: Allah Ta'ala Agli Saf Walaon par Rehmatein Nazil Farmate hai aur inke liye Farishte Maghfirat ki Dua karte hain.

{ Abu Dawood Shareef }

35}Hazrat Ayesha Raziyallahu Anhu Riwayat karti hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Allah Ta'ala Safaon ki khali Jagah ko Pur karne Walaon Par Rehmat Nazil Farmate hai aur Farishte unke liye Istaghfar karte hain.
{ Mustadrak Hakim }

36}Hazrat Omer Bin Khattab Raziyallahu Anhu Farmate hai ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Irshaad Farmate hue Suna: Allah Ta'ala Bajamaat Namaz Padhne Par Khush hote hai.

{ Musnad Ahmad, Majma Al-Zawa'id }

37}Hazrat Osman Bin Affan Raziyallahu Anhu Farmate hai ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam itu ko Irshaad Farmate hue Suna: Jo Shakhs kamil Wazu Karta hai Phir Farz Namaz keliye Chal kar Jata hai aur Namaz Jamaat ke Saath Masjid Mein Aadaa karta hai to Allah Ta'ala Uske Gunahaon ko Mu'af Farma Dete hai.

{ Muslim Shareef }

38}Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Riwayat ha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Apni Safaon ko Seedha kiya karo kyunki Namaz ko Achchi Tarha Adaa karne Mein Safaon ko Seedha karna Shamil hai. 

{Bukhari Shareef }

39}Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Saf ko Milata hai Allah Ta'ala Usse Apni Rehmat se Mila Dete hai Aur jo Shakhs Saf ko Todta hai Allah Ta'ala Usse Apni Rehmat se Door kar Dete hai.

{ Abu Dawood Shareef }

FAIDA: Saf Todne ka Matlab yeh hai ke Saf ke Darmiyan Aisi Jagah Par koi Samaan Rakhde ke Saf Puri na Hosake ya Saf Mein Khaali Jagah Dekh kar bhi isse Pur na Kare.

40}Hazrat Abdullah Bin Masood Raziyallahu Anhu Riwayat karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Aadmi ka Jamaat ke Saath Namaz Padhna Akele Namaz Padhne se Bees (20) Darje se Bhi Zyada Fazilat Rakhta hai.

{ Musnad Ahmad Shareef }

41}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Riwayat karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Aadmi ka Jamaat se Namaz Padhna Apne Ghar aur Bazaar mein Namaz Padhne se Pachees (25) Darje Zyada Sawab Rakhta hai.

{ Bukhari Shareef }

42}Hazrat Abdullah Bin Omer Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jamaat ki Namaz Akele ki Namaz se Ajar wo Sawab mai Satta’is (27) Darje Zyada hai.

{ Muslim Shareef }

43}Hazrat Khabaas Bin Ashyam Laisi Raziyallahu Anhu Riwayat Karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Do Aadmiyaon ki Jamaat ki Namaz ke Ek Imaam ho Ek Muqtadi, Allah Ta'ala ke Nazdeek Chaar Aadmiyaon ki Alahada Alahada Namaz se Zyada Pasandida hai. Is Tarha Chaar Aadmiyao ki Jamaat ki Namaz Aath (8) Aadmiyaon ki Alahada Alahada Namaz se Zyada Pasadida hai aur Aath (8) Aadmiyaon ki Jamaat ki Namaz Sau (100) Aadmiyaon ki Alahada Alahada Namaz se Zyada Pasandida hai.

{Bazzar,Tibrani, Majma Al-Zawa'id}

44}Hazrat Abi Bin Ka'ab Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Ek Aadmi ka Dusre ke Saath Bajamaat Namaz Padhna Uske Akele Namaz Padhne se Afzal hai aur Teen Aadmiyaon ka Bajamaat Namaz Padhna do Aadmiyaon ke Bajamaat Padhne se Afzal hai. Is Tarha Jamaat ki Namaz mai Majmua Jitna Zyada hoga itna hi Allah Ta'ala ko Zyada Mehboob hai.

{ Abu Dawood Shareef }

45}Hazrat Abu Sayeed Khudri Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jamaat se Namaz Padhne ka Sawab Pachees (25) Namazon ke Barabar hota hai aur Jab koi Shakhs Jungle Bayaban mein Namaz Padhta hai aur iska Ruku Sajda bhi Pura karta hai yani Tasbihaat ko Itmenan se Padhta hai to is Namaz ka Sawab Pachas (50) Namazon ke Barabar Pahunch Jata hai.

{ Abu Dawood Shareef }

46}Hazrat Fazala Bin Obaid Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Namaz Padhate to Saf mein Khade Baaz Asshab-e-Suffa Bhook ki Shidat ki Wajha se Gir Jate Yahan tak ke Bahar ke Dehati log Unko Dekhte to Yun Samajhte ke yeh Diwane hain. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Jab Namaz se Farigh hue to Unki Taraf Mutawajha hokar Farmaya: Agar Tumhe woh Sawab Maloom hojaye jo Tumhare liye Allah Ta'ala ke Yahan hai to tum isse bhi Zyada Tangdasti aur Faaqe mai Rehna Pasand karo. Hazrat Fazala Farmate hai ke mai us Din Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke Saath tha.

{ Tirmizi Shareef }

47}Hazrat Ayesha" Raziyallahu Anhu Farmati hai Jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Bimaar hue aur Aap ki Takleef Badh Gayee to Aap ne Dusri Biwiyaon se is Baat ki Ijazat li ke Aap ki Timardari mere Ghar mein ki Jaye. Inhone Aap ko is Baat ki ijazat Dedi. (Phir jab Namaz ka Waqt hua to) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Do Aadmiyon ka Sahara lekar (Masjid jane keliye is tarha) Nikle ke (Kamzori ki Wajha se) Aap ke Pao Zameen per Ghaseet Rahe the.

{ Bukhari Shareef }

48}Hazrat Abu Darda'a Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko Irshaad Farmate hue Suna: Jis Gaon ya Jungle mein Teen Aadmi ho Qur Wahan Bajamaat Namaz na hoti ho to un Par Shaitan Puri Tarha Ghalib Aajata hai isliye Jamaat se Namaz Padhne ko Zaroori Samjho. Bhedya Akeli Bakri ko kha Jata hai (aur Aadmiyaon ka Bhedya Shaitan hai).

{ Abu Dawood Shareef }

49}Hazrat Osman Bin Affan Raziyallahu Anhu Farmate hai ke Maine Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko yeh Irshaad Farmate hue Suna:Jo Shakhs isha ki Namaz Jamaat ke Saath Padhe Goya isne Aadhi Raat Ibadat ki aur jo Fajr ki Namaz bhi Jamaat ke Saath Padhle Goya isne Puri Raat Ibadat ki.

{ Muslim Shareef }

50}Hazrat Abu Hurairaline Raziyallahu Anhu Riwayat karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Agar logaon ko Zohar ki Namaz keliye Dopahar ki Garmi mein Chal kar Masjid Jane ki Fazilat Maloom Hojati to woh Zohar ki Namaz keliye Daudte hue Jaate. Aur Agar inhe isha aur Fajr ki Namazon ki Fazilat Maloom hojati to woh in Namazon keliye Masjid Jaate, Chahe unhe (kisi Beemari ki Wajha se) Ghaseet kar hi Jaana Padta.

{ Bukhari Shareef }

51}Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Subah ki Namaz Jamaat ke Saath Padhta hai Woh Allah Ta'ala ki Hifazat mein Hota hai. Jo Allah Ta'ala ki Hifazat mein Aaye hue Shakhs ko Satayega Allah Ta'ala Usse Aondhe Mooh Jahanum mein Phaink Denge.

{ Tibrani, Majma Al-Zawa'id }

52}Hazrat Anas Bin Malik Raziyallahu Anhu Farmate hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs Chalees (40) Din Ekhlas se Takbeer Aula ke Saath Bajamaat Namaz Padhta hai to isko Do Parwane Milte hain. Ek Parwana Jahanum se Bari hone ka Dusra Nifaq se Bari hone ka.

{ Tirmizi Shareef }

53}Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Farmate hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Mera Dil Chahta hai ki Chand Jawanao se Kahoon ke Bahut Sara Eindhan Ekatta karke layein Phir mai un logaon ke Paas Jaon jo Bagair kisi Uzar ke Gharaon mein Namaz Padh lete hain aur Unke Gharaon ko Jala Doon.

{ Abu Dawood Shareef }

54}Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se Riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya: Jo Shakhs kisi saf ko Milata hai Allah Ta'ala iski Wajha se Uska Ek Darja Buland Farmadete hai aur Farishte us par Rehmataon ko Bikhair Dete hain.

{Tibrani, Targheeb}

55}Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu Riwayat karte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshaad Farmaya:Munafikheen Par Sabse Zyada Bhaari Isha aur Fajr ki Namaz hai.

{ Muslim Shareef }




















































No comments

Powered by Blogger.